19 September 2024

Thursday

13  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 257
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : BIDAAT / RUSUMAT
Topic : Rabiul-awwal Ke Mahine Me Karne Ke Kaam
Sawal : Rabiul-awwal Ke Mahine Me Karne Ke Kaam Kya Hai ?
Jawab : Tamam Insano Me Sab Se Afzal Anbiya-e-kiraam (alaihimussalam) Ki Zaat Hai, Or Anbiya Me Sabse Afzal Hazrat Nabi Kareem (sallallahu Alaihi Wa Sallam) Hai, Huzur Ka Is Duniya Me Janam Lena Bhot Khushi Ki Baat Hai.
▪️ Mashoor Hai, Ke Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ki D.o.b 12 Rabi-ul-awwal Hai, Lekin Huzur(sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Jaane Ke Bhot Dino Baad Unke Duniya Me Aane Ki Khushi Jis Andaaz Se Manai Jaati Hai, Jesa Ke Milaad Ki Majlis, Jalse-julus Or Cake Cutting, Iska Subut Na Huzur Ki Zindagi Me Milta Hai, Na Baad Ke Nek-logo Ne Isko Ikhtiyaar Kiya, Balke Khud Huzur (sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Zindagi Me Bhut Si Martaba Aap Ki Birth Date Gai, Lekin Aap Ne Apne Liye Aaj-kal Ki Tarah Jalse Julus Or Milaad Manane Ka Hukm Nahi Diya, Sahaba-e-kiraam Jo Ke Huzur (sallallahu Alaihi Wasallam) Se Sabse Zyada Mohabbat Karne Wale The, Unhone Bhi Esa Kuch Nahi Kiya, 608 Hijri Me Ye Bidat Shuru Huvi.
▪️be-shaq Huzur Ki Seerat Ko Sunna Or Sunana Sawab Ka Kaam Hai, Lekin Us Ko Mahine (rabi-ul-awwal) Or Waqt Ke Saath Khaas Kar Dena, Late Night Tak Loud Speaker Pr Majlis Qaim Karna Or Juloos Nikalna Bidat Or Logo Ko Takleef Ka Zaria Hai. (fatawa Mahmoodiyah 3/168) Isi Tarah Rabi-ul-awwal Ke Mahine Me Quran Shareef Ka Khatam Rakhna (surah-e-yaseen Ya Koi Or Surah Ko 12 Din Tak Padhna) Seerat Se Sabit Nahi Hai.
▪️ Rabi-ul-awwal Me Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Aane Ki Khushi Aap Ki Sunnato Pr Amal Karke Manai Jaye, Aap Ke Lae Hue Paigaam Ko Khub Felaaya Jae, Namaz Ka Ehtmam Kare, Jo Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aankho Ki Thandak Ka Zariya Hai, Durood Shareef Ka Ehtemam Kare, Isi Tarah Har Khair Ke Kaam Ko Kiya Jaye.
▪️ Note : Zikar Kiye Gae Khair Ke Kaamo Ko Rabi-ul-awwal Ke Saath Khaas Na Kare, Balke Apni Zindagi Ko Sunnat Ke Mutabiq Guzarte Rahe, Yahi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sachi Mohabbat Ki Alaamat Hai.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
10 Muharram Ko Khichda Banana Aur Taqseem Karna
Sawal : Kya Nau - Dus ( 9 - 10 ) Muharram Ko Khichda Ya Haleem Banwa Kar Rishtedaro Ya Gareebo Me Taseem Karn Ki Koi Fazilat Hai Ya Nahi ?

view more..


Jumerat Ko Loban Jalana Kaisa Hai
Sawal : Khususan Jumerat Ke Din Ghar Me Lobhan Jalana Kaisa Hai ?

view more..


Qabr Par Paani, Phool Daalna Or Agar-batti Jalaana
Sawal : Qabr Par Paani Daalna, Phool Daalna Or Agar-batti Jalaana Sahih He, Ya Nahi ?

view more..


Ya Rasulallah kehna.
Sawal : Ya Rasulallah kehna kesa he ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 8
  • 6
  • 4
times