30 July 2025

Wednesday

4  Safar  1447

Sawal No : 331
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : Bidaat / Rusumaat
Topic : Muharram Ki Rusumaat
Sawal : Hazrat Husen ( Radiyallahu Anhu ) Ki Shahadat E Uzma Par Rasme Taziya Dari, Siyah Posh Hona ( Kale Kapde Pehenna ) Nange Sar Hona, Sar Me Khak ( Mitti ) Dalna, Sar Ko Pitna, Aur Sar Ko Tel Wagaira Se Khushk Rakhna, Matam Karna, Vavela Karna, Noha Karna, Marsiye Gana, Jis Me Buzurgan E Din Ki Tohin Hoti Ho, Chilla Chilla Kar Rona, Alam Nikalna, Bachcho Ko Qaidi Faqir Banana, Taziya Gah Me Tilawate Kalam E Pak Karna Aur Mannate Manna, Duldul Ko Gae ( Cow ) Ka Dudh Aur Jalebi Khilana, Dhol-tashe Bajana, Ahle Sunnat-wl-jamat Ke Nazdik Is Ki Asal Kya Hai ?
Jawab : Hazrat Husen ( Radiyallahu Anhu) Ki Shahadat Yaqinan Ek Dardnak Hadisa Hai, Aur Khandane Nubuwwat Se Aqeedat Aur Mawaddat ( Muhabbat ) Ka Talluq Rakhne Walo Ke Liye Ruh-farsa ( Dil Ke Tukde Karne Wala ) Waqia Hai, Sab Ko Is Se Ibrat Hasil Karna Lazim Hai, Ke Haq Par Kis Tarah Qaim Rehna Chahiye, Kisi Jabir ( Zalim ) Taqat Ke Samne Jhukne Se Jame-shahadat Nosh Karne Ka Maqam Bahut Buland Hai.
▪️ Lekin Ye Intihai Bad-qismati Aur Hirman-nasibi ( Bad-bhakhti ) Hai, Ke Jur'at Aur Haq-goi ( Haq Bat Kehna ) Ka Sabaq Hasil Karne Ki Jagah Par In Jahilana Aur Zanana Marasim ( Ladies Function ) Ne Qabza Kar Liya Hai, Aur Ab Inhi Ke Zariye Haqq E Wafadari Ada Kiya Jata Hai.
▪️ Aur Mazkura Sawal Me Baz Chize Makrooh Hai, Baz Bidate-sayyia ( Buri Bad'at ) Hai, Baz Haram Hai, Baz Darja E Shirk Tak Pohchi Hui Hai.
▪️ Ahle Sunnat-wl-jamat Se In Ka Koi Rabt ( Ta'lluk) Nahi Hai, Ye Rawafiz ( Shiya ) Ka Shiar ( Symbol ) Hai, In Ki Sohbat Ka Asar Be-ilm Ya Be-amal Ahle Sunnat-wl-jamat Me Bhi Phel Gaya Hai, Inka Band Karna Zaruri Hai. ( Fatawa Mahmoodiyah - 3/277 )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Muharram Ke Dino Me Sabil Lagana
Sawal : Muharram Ke Dino Me Jo Log Sabil - Sharbat Vagaira Lagate Ya Khilate Pilate Hai ? Vo Jaiz Hai, Ya Nahi ? Us Me Chanda Dena Jaiz Hai, Ya Haram ?

view more..


10 Muharram Ko Mithai Taqseem Karna
Sawal : Baaz Mulko Me Ye Riwaj Hota Hai, Ke 10 Muharram Me Mithai Vagaira Khane Ki Chize Masjid Me Lakar Ya Ghar Me Taqseem Ki Jati Hai, Ye Jaiz Hai, Ya Nahi ?

view more..


Islami Aur Gair-islami Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena
Sawal : Kya Islami Aur Gair-islami Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena Jaiz Hai ?

view more..


15 Shaaban Ki Raat Me Ibaadat Karna
Sawal : 15 Shabaan Ki Raat Me Kis Tarah Ibaadat Kare ? Kya Is Raat Me Ibaadat Ka Ehtimam Karna Bida't Hai ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 1
  • 4
  • 4
  • 4
  • 4
  • 2
times