14 September 2025

Sunday

19  Rabi-Ul-Awwal  1447

Sawal No : 302
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : Bidaat / Rusumaat
Topic : 15 Shaaban Ki Raat Me Ibaadat Karna
Sawal : 15 Shabaan Ki Raat Me Kis Tarah Ibaadat Kare ? Kya Is Raat Me Ibaadat Ka Ehtimam Karna Bida't Hai ?
Jawab : Ummat E Muslima Ka Jo Khairul-qurun Hai, Yani Sahaba E Kiram Ka Zamana, Taabi'een Ka Zamana, Tabe Taabi'een Ka Zamana, Is Me Bhi Is Raat Ki Fazilat Se Fayda Uthane Ka Ehtimam Kiya Jata Raha Hai, Log Is Raat Ke Andar Ibaadat Ka Khususi Ehtimam Karte Rahe Hai, Lihaza Is Ko Bida't Kehna, Ya Be-buniyad Aur Be Asal Kehna Durust Nahi Hai, Sahi Baat Yahi Hai, Ke Ye Fazilat Wali Raat Hai, Is Raat Mei Jaagna Is Me Ibadat Karna Ajar Aur Sawab Ka Zariya Hai, Aur Is Ki Khususi Ahmiyat Hai.

▪️ Al-batta Ye Baat Durust Hai, Ke Is Raat Me Ibaadat Ka Koi Khas Tarika Mukarrar Nahi Hai, Ke Fula Tariqe Se Ibaadat Ki Jaye, Jaise Kuch Logo Ne Apni Taraf Se Ek Tarika Nikal Kar Ye Keh Diya, Ke Shabe-baraat Me Is Khas Tarike Se Namaz Padhi Jaati Hai, Misal Ke Tor Par Pehli Rakat Me Fula Surat Itni Martba Padhi Jaaye, Dusri Rakat Me Fula Surat Itni Martba Padhi Jaaye Vagaira Vagaira, Iska Koi Subut Nahi Hai, Ye Bilkul Be-buniyad Baat Hai.

▪️ Balke Nafli Ibaadat Jis Kadar Ho Sake, Vo Is Raat Me Anjam Di Jaaye, Nafal Namaj Padhe, Aur Quraan E Karim Ki Tilawat Kare, Zikr Kare, Tasbeeh Padhe, Duaae Kare, Ye Sari Bate Is Raat Me Ki Ja Sakti Hai, Lekin Koi Khas Tarika Sabit Nahi Hai. ( Islahi Khutbaat - 4/259 - Mufti Taqi Usmani )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Muharram Ki Rusumaat
Sawal : Hazrat Husen ( Radiyallahu Anhu ) Ki Shahadat E Uzma Par Rasme Taziya Dari, Siyah Posh Hona ( Kale Kapde Pehenna ) Nange Sar Hona, Sar Me Khak ( Mitti ) Dalna, Sar Ko Pitna, Aur Sar Ko Tel Wagaira Se Khushk Rakhna, Matam Karna, Vavela Karna, Noha Karna, Marsiye Gana, Jis Me Buzurgan E Din Ki Tohin Hoti Ho, Chilla Chilla Kar Rona, Alam Nikalna, Bachcho Ko Qaidi Faqir Banana, Taziya Gah Me Tilawate Kalam E Pak Karna Aur Mannate Manna, Duldul Ko Gae ( Cow ) Ka Dudh Aur Jalebi Khilana, Dhol-tashe Bajana, Ahle Sunnat-wl-jamat Ke Nazdik Is Ki Asal Kya Hai ?

view more..


Muharram Ke Dino Me Sabil Lagana
Sawal : Muharram Ke Dino Me Jo Log Sabil - Sharbat Vagaira Lagate Ya Khilate Pilate Hai ? Vo Jaiz Hai, Ya Nahi ? Us Me Chanda Dena Jaiz Hai, Ya Haram ?

view more..


10 Muharram Ko Mithai Taqseem Karna
Sawal : Baaz Mulko Me Ye Riwaj Hota Hai, Ke 10 Muharram Me Mithai Vagaira Khane Ki Chize Masjid Me Lakar Ya Ghar Me Taqseem Ki Jati Hai, Ye Jaiz Hai, Ya Nahi ?

view more..


Islami Aur Gair-islami Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena
Sawal : Kya Islami Aur Gair-islami Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena Jaiz Hai ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 1
  • 5
  • 5
  • 1
  • 0
  • 1
times