Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
03 July 2025
Thursday
6 Muharram 1447
Sawal No : 316
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : BIDAAT / RUSUMAT
Topic : Islami Aur Gair-islami Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena
Sawal : Kya Islami Aur Gair-islami Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena Jaiz Hai ?
Jawab : Saal Ke Aagaz ( Starting ) Ke Moke Par Mubarak-baad Dene Ka Shariat Me Subut Nahi Hai, Al-batta Ibadat Ya Zaruri Samjhe Bagair Agar Koi Mubarak-baad De, Aur Khair V Barkat Ki Duaa Kare, To Harj Nahi Hai, Al-batta Naye Islami Saal Ke Shuru Me Ye Duaa Padhna Baaz Rivayaat Se Sabit Hai, Lihaza Har Mahine Ka Chand Dekh Kar Aur Qamri Saal Ke Aagaz Me Ye Duaa Padhni Chahiye.
▪️ اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيمَانِ ، وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجِوَارٍ مِنَ الشَّيْطَانِ .
▪️tarjama - Ay Allah, Is Chand Ko Hamare Uper Aman, Imaan, Salamati Aur Islam Ke Sath Aur Rahman Ki Raza Mandi Aur Shaitan Ke Bachav Ke Sath Dakhil Farma.
( Khulasa Az Online Fatawa Binnoriya - Fatwa No.144201200116 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 26-06-2025
download in PDF
related question
15 Shaaban Ki Raat Me Ibaadat Karna
Sawal : 15 Shabaan Ki Raat Me Kis Tarah Ibaadat Kare ? Kya Is Raat Me Ibaadat Ka Ehtimam Karna Bida't Hai ?
view more..
Rabiul-awwal Ke Mahine Me Karne Ke Kaam
Sawal : Rabiul-awwal Ke Mahine Me Karne Ke Kaam Kya Hai ?
view more..
10 Muharram Ko Khichda Banana Aur Taqseem Karna
Sawal : Kya Nau - Dus ( 9 - 10 ) Muharram Ko Khichda Ya Haleem Banwa Kar Rishtedaro Ya Gareebo Me Taseem Karn Ki Koi Fazilat Hai Ya Nahi ?
view more..
Jumerat Ko Loban Jalana Kaisa Hai
Sawal : Khususan Jumerat Ke Din Ghar Me Lobhan Jalana Kaisa Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
3
7
9
7
8
times