27 July 2024

Saturday

19  Muharram  1446

Darul Ifta Wal Irshad, Shahpore, Surat Ka Ta'aruf

www.suratifta.com Ye Darul ifta ki Official website hai.

Darul ifta ki ibtida

Darul ifta wal irshad ki ibtida 2001 me hazrat mufti ahmad sahab khanpuri ke hukm se hui.

Darul ifta ke sadar Mufti

Iske sadar hazrat mufti ubaidullah sahab maniar ( surti ) muqarrar kiye gaye hai.

Akaabirin ki Darul ifta me aamad

Is ki iftitahi majlis me hazrat mufti ahmad sahab khanpuri damatbarkaruhum aur hazrat molana ibrahim sahab pandor damatbarkaruhum tashreef laye the.

Location

Pehle ye shahpore, surat hi ke area me ek choti si dukan me magrib se isha ke vakt me shuru huva tha, Uske bad allah rabbul izzat ne darul ifta ke liye aek alag Bulding ka intizam kar diya. jo shahpore hi me masjid e qadim ke qarib hai. Filhal Darul ifta ka vakt asar se magrib tak hai. Mangal aur jumah hafte me do din band rehta hai.

Durul ifta ki khidmat

Darul ifta se ab tak hazaro fatawa writing me likhe ja chuke hai. Aur zubani sawal karne vale afrad bhi hazaro ki tadad me fayda utha chuke hai. Aur ye silsila barabar jari hai. Allah rabbul izzat se duaa hai Ke aage bhi ye silsila aafiyat ke sath chalta rahe.

Darul ifta me hazrat mufti ubaidullah sahab damatbarkaruhum ki nigrani me khidmat karne wale muftiya ne kiram ki tadad 7 hai.

Sadar Mufti Ka Ta'aruf

Name aur qabila

Aap ka pura name ubaidullah ibne hafiz abdul karim hai.

Aap ka talluk maniar family se hai. Ap ka qabila surat city me patni sunnat jamat se jana jata hai.

Wiladat ba sa'aadat

Aap ki paidaish 1976 me hindustan ke suba e gujrat ke surat sahar me hui.

Tahsil e ilm e deen

Ibtidai taleem se lekar darja e hifz aur darja e aalimiyat me farsi se le kar arbi som tak ki puri taleem surat ka mashhur v maqbul idara madrasa mulla masjid me huvi.

Arbi chaharum se lekar ifta tak ki taleem suba e Gujarat ka mashhur v maqbul idara jamia islamiyah taleemuddin - dhabhel - simlak me huvi.

Ilmi salahiyat

Ap apne talab e ilmi ke zamane se hi bahut mehnati aur bahut zaheen the. Ap tamam darjaat me mumtaz numbaraat se hi kamyab hote the. 21 saal ki choti si umar me hi aap ne ifta ka 2 saal ka course jamiya dhabhel me mukammal kar liya tha.

Talimi khidmat

ifta se faragat ke baad aap hazrat ne jamiah islamiyyah talimuddin, dabhel hi me dars o tadrees ki khidmat ka silsila shuru kiya. Jo ab tak jari hai. Mufti sahab ka shumar jamia dhabhel ke maqbul asatiza me hota hai. Ap ke zere dars fiqh v hadeesh ki kitabe hai.

Hazrat Mufti sb shaikhul hadees

Aap surat ke maqbul idara madrasa rahmaniya ( masjide anwar ) ke shaikhul hadeesh bhi hai.

Ruhaani silsila

Hazrat Mufti Ubaidullah sb damatbarkaruhum ne sabse pehle faqihul ummat Hazrat Mufti Mahmud Hasan gangohi rahmatullahi ke hath par bait ki, phir Hazrat faqihul ummat ke duniya se rukhsat ho Jane ke baat Hazrat Mufti Ahmad sahab khanpuri damatbarkaruhum ki janib ruju kiya.

Kuch khas bate

Aap ne Hazrat mufti ahmad sahab khanpuri damatbarkaruhum ki nigrani me lambe zamane tak fatwa likhne ki mashq ki hai.

mufti ubaidullah sahab ka vujud surat valo ke liye kisi khazane se kam nahi hai.

Allah rabbul izzat se duaa hai, Ke allah rabbul izzat ham sab ko mufti sahab ki qadar dani ki tavfiq ata farmave. Aur ap ke saye ko ham par aafiyat ke sath ta der baki rakhe. Aur hazrat ke fuyuz v barkat ko puri dunya me aam farmaye. Aur hazrat ki deeni khidmat ko qabul farmaye.

Aamin

Total visited
  • 5
  • 1
  • 5
  • 7
  • 2
times