Sawal :
Masjid Me Farz Namaz Ke Bad Mic Me Zor Se Duaa Mangna Kesa Hai ?
baz Martaba Jin Logo Ki Rakat Gayi Hoti Hai, Un Ko Apni Namaz Padhne Me Pareshani Hoti Hai.
Qunoot E Nazila Kab Tak Fajar Mai Jari Rakhani Chahiye
Sawal :
Aaj Kal Mulk Ke Halat Mohtaj E Byan Nahi, Kisi Na Kisi Jagah Sochi Samji Sazish K Tahat Dange Kiye Jate Hai, Jis Me Maali Nuksaan Ho Hi Jata Hai, Ye Taqreeban Election Tak Rahega, Aesa Tajruba Hai, Aur Bahar Mulk Me Bhi Musalman Ke Halaat Kaafi Tashwish-naak Hai, Is Haal Me Hamare Paas Dua K Alawa Koi Hathyaar Nahi, Kya Is Halat Me Election Tak Har Fazar Ki Namaz Me Qunoot E Nazila Jaari Rakhna Sahih Nahi ?
▪️ Balki Maghrib Isha Me Bhi Agar Padhi Jaye, To Awam Ki Hissedari Aur Tawajjooh Is Taraf Badhegi, Kya Iski Zarurat Mahsoos Nahi Hoti ?
▪️ Kam Se Kam Shawafe'a K Dalail K Mutabiq Har Roz Fazar Ki Namaz Me Election Tak Padhna Halaat Ke Peshe Nazar Zaruri Maloom Hota Hai, Is Baare Me Aapki Raai Badi Aham Samajta Hoon.