Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
31 July 2025
Thursday
5 Safar 1447
Sawal No : 338
Bab : NAMAZ
Fasl : OTHERS ( NAMAZ )
Topic : Chhote Bachchon Ko Masjid Mein Lana
Sawal : Aaj Kal Dekha Ja Raha Hai Ke Chhote Bachchon (ladke / Ladki) Ko Masjid Mein Laate Hain, Aur Saf Mein Apne Paas Khada Karte Hain. Is Ka Kya Hukm Hai?
Jawab : Aise Bachche (ladke) Jo Namaz Aur Wuzu Waghera Ki Tameez Rakhte Hain, Aur Masjid Ke Aadaab Se Waaqif Hokar Uska Paas-o-lihaaz Rakhte Hon — Unko Masjid Mein Laya Ja Sakta Hai.
▪️ Aur Jo Bachche Namaz, Wuzu Waghera Ki Tameez Nahi Rakhte, Aur Masjid Ke Adab Ka Paas-o-lihaaz Nahi Karte, Unko Masjid Mein Lana Durust Nahi Hai.
▪️ Isi Tarah Ke Ek Sawaal Ke Jawab Mein Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Ludhyanvi Rahmatullah Alaih Tehreer Farmate Hain:
"jo Bachche Bilkul Kam Umr Hon, Unko To Masjid Mein Lana Hi Jaiz Nahi. Na-baaligh Bachchon Ke Baare Mein Asal Hukm To Yahi Hai Ke Unki Alag Saf, Baaligh Mardon Ki Saf Se Peechhe Ho.
lekin Aaj Kal Bachche Jama Hokar Zyada Udham Machate Hain, Is Liye Munaasib Yahi Hai Ke Bachchon Ko Unke Waali Apne Barabar Khada Kar Liya Kare.
bachchon Ko Samjhana Chahiye, Aur Pyaar-o-mohabbat Aur Shafqat Se Unko Namaz Mein Khade Hone Ka Tareeqa Batana Chahiye.
bachchon Ko Daant-dapat Karne Se Chanda (zyada Kuch) Faida Nahi Hota." (makhooz Az Mahmudul Fatawa 2/388)
▪️ Isi Tarah Kisi Bhi Umr Ki Ladki Ko Masjid Mein Saath Laane Ki Ijaazat Nahi Hai. Jab Bachchi Samajhdaar Ho Jaye To Uski Maa, Bahan Waghera Uski Namaz Ada Karwane Ki Fikr Karein, Deeni Taleem-o-tarbiyat Ka Nazm Ho. Chhoti Bachchi Ko Laana Bhi Bila Zarurat Hai, Neez Masjid Mein Napaaki Ka Bhi Andesha Hota Hai. (makhooz Az Online Fatawa, Darul Uloom Deoband)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 10-07-2025
download in PDF
related question
Qaza Namaz Me Nafl Ki Niyyat Karna
Sawal : Kya Qaza-e-umri Namazon Ke Sath Kisi Nafl Ya Du‘a Ki Niyyat Milana Jaiz Hai? Jaise Ke: Salatul Wuzu, Imaan Ki Salamati Wagairah?
view more..
Shirt In Kar Ke Namaz Padhna
Sawal : Kya Shirt In Kar Ke Namaz Padhna Sahih Hai ?
view more..
Farz Namaz Ke Baad Tasbihaat Aur Wazaif Kab Padhne Chahiye ?
Sawal : Farz Namaz Ke Baad Tasbihaat Aur Wazaif Kab Padhne Chahiye ? Sunnate Aur Nawafil Se Pehle Ya Baad Mein ?
view more..
Biwi Ke Saath Jamat Bana Kar Tahajjud Padhna
Sawal : Kya Miya Aur Biwi Tahajjud Ki Namaz Jamat Ke Saath Padh Sakte Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
4
5
4
3
times