21 November 2024

Thursday

17  Jamadi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 117
Bab : NAMAZ
Fasl : OTHERS ( NAMAZ )
Topic : Qunoot E Nazila Kab Tak Fajar Mai Jari Rakhani Chahiye
Sawal : Aaj Kal Mulk Ke Halat Mohtaj E Byan Nahi, Kisi Na Kisi Jagah Sochi Samji Sazish K Tahat Dange Kiye Jate Hai, Jis Me Maali Nuksaan Ho Hi Jata Hai, Ye Taqreeban Election Tak Rahega, Aesa Tajruba Hai, Aur Bahar Mulk Me Bhi Musalman Ke Halaat Kaafi Tashwish-naak Hai, Is Haal Me Hamare Paas Dua K Alawa Koi Hathyaar Nahi, Kya Is Halat Me Election Tak Har Fazar Ki Namaz Me Qunoot E Nazila Jaari Rakhna Sahih Nahi ?

▪️ Balki Maghrib Isha Me Bhi Agar Padhi Jaye, To Awam Ki Hissedari Aur Tawajjooh Is Taraf Badhegi, Kya Iski Zarurat Mahsoos Nahi Hoti ?

▪️ Kam Se Kam Shawafe'a K Dalail K Mutabiq Har Roz Fazar Ki Namaz Me Election Tak Padhna Halaat Ke Peshe Nazar Zaruri Maloom Hota Hai, Is Baare Me Aapki Raai Badi Aham Samajta Hoon.
Jawab : Jab Musalmano Par Koi Bura Hadsa Paish Aajay, Maslan : Ta'oon Ki Wabaa Phel Jaye, Ya Kuffar Hamla Kar Dain, Ya Khud Musalmano Mein Hi Qatal O Gaarat Aam Ho Jaye, To Aisay Mawaqay Mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Se Aik Khaas Amal Karna Saabit Hai, Jisay Qunoot E Nazila Kehte Hain.

▪️ Hazrat Anas Radiyallahu Anhu Se Riwayat Hai, Ke Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Aik Maheene Tak Fajar Ki Namaz Mein Qunoot ( Nazila ) Padhi, Jis Mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Arab Ke Baaz Qabeelo Masalan : Ra'l, Zakwan, Oosai'ya, Bani Lahyaan Ke Khilaaf Bad-dua Farmai Thi.(bukhari: 4094).

▪️ Lihaza Haalat Ko Madd E Nazar Rakhte Huwe Qunoot E Nazila Padhni Chahiye, Aur Padhi Jaa Rahi Hai, Aur Qunoot E Nazila Ke Liye Koi Tai Shuda (fix) Muddat Nahi Hai, Ke Itni Muddat Tak Jari Rakhe, Aur Us Ke Baad Padhna Na Ja'iz Ho, Haa! Sunnat Ki Niyyat Se Ek Mahine Tak Jari Rakhna Chahiye.

▪️ Neez Ahnaf Ke Yaha Haalat Ko Madde Nazar Rakhte Huwe Sirf Fajar Ki Namaz Me Halaat Muwafiq Hone Tak Qunoot E Nazila Ki Ijazat Hai, Dusri Namazo Me Ijazat Nahi Hai.

▪️ Asal Amal Me Jaan Sharee'at Ke Ahkam Ko Sunnat Ke Mutabiq Baja Lane Se Aati Hai, Aur Ahadees Me Gaur Kar Ke Sunnat Tariqe Ke Mutabiq Hi Imam Abu Hanifa Rh Ne Fajar Ki Namaz Me Halat Saaz Gaar Hone Tak Qunoote Nazila Padhne Ki Ijazat De Hai, Lihaza Usi Par Amal Karna Chahiye.

▪️ Aur Logo Ko Mutawajjeh Karne Aur Shareek Karne Ke Liye Namaz Ke Baad Alag Se Mutawajjeh Kiya Ja Sakta Hai, Bayan Karke, Infiradan Qunoot E Nazila Padhne Ki Targeeb De Kar, Aur Khatam Rakh Kar Ijtimai Dua Ki Ja Sakti Hai, Aur Bohot Si Jagah Ye Ho Raha Hai, Aur Is Ko Kisi Par Lazim Kiye Bagair Kiya Jaye, To Is Ki Gunja'ish Bhi Hai.

▪️ Neez Dua Ke Bare Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai, (muslim: 2678) Ke Jab Bhi Maango, To Azm Ke Saath Maango, Ke Allah Ta'ala Zarur Qabul Karenge, Un Ke Khazane Me Koi Kami Nahi Hai, Pehle Hi Se Is Tarah Sochna Ke Election Tak Qunoot E Nazila Padhte Hi Rahenge, Us Azm Aur Yaqeen Ke Khilaf Malum Hota Hai, Insha'allah Un Dino Se Pehle Hi Halaat Durust Ho Jayenge.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Farz Namaz Ke Baad Tasbihaat Aur Wazaif Kab Padhne Chahiye ?
Sawal : Farz Namaz Ke Baad Tasbihaat Aur Wazaif Kab Padhne Chahiye ? Sunnate Aur Nawafil Se Pehle Ya Baad Mein ?

view more..


Biwi Ke Saath Jamat Bana Kar Tahajjud Padhna
Sawal : Kya Miya Aur Biwi Tahajjud Ki Namaz Jamat Ke Saath Padh Sakte Hai ?

view more..


Namaz Ke Baad Mic Me Duaa
Sawal : Masjid Me Farz Namaz Ke Bad Mic Me Zor Se Duaa Mangna Kesa Hai ?
baz Martaba Jin Logo Ki Rakat Gayi Hoti Hai, Un Ko Apni Namaz Padhne Me Pareshani Hoti Hai.

view more..


Namaz Ki Fikr Dilana
Sawal : Ek Shop Me 3 Log Hai, O ( Owner ), Worker 1, Worker 2, Teeno Relatives Hi Hai, Worker 1 Namaz Ke Liye Nahi Jaata, Or Worker 2 Usko Bol Nahi Pata, Lekin Worker 2 Ne Owner Ko Kaha, Ke Bhai Aap Hi Unko Boldo, Kyuki Aap Ke Zimme Hai, To Kya Worker 2 Ki Zimmedari Puri Ho Gayi ? Ya Uski Bhi Qayamat Me Puch Hogi ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 7
  • 0
  • 5
  • 1
  • 9
times