08 September 2024

Sunday

2  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 74
Bab : NAMAZ
Fasl : AZAN / IQAMAT
Topic : Azaan Ke Waqt Kya Kare ?
Sawal : Azaan Ke Waqt Azaan Sunne Wale Kya Kare ?
Jawab : Azaan Sunne Wale Ke Liye Jawab Dena Mustahab Hai, Jo Alfaaz Muazzin Sahab Kahe, Un Hi Alfaaz Ko Apni Zuban Se Kahe, Aur Hayyalassala ( حی علی الصلوۃ ), Hayyalalfalah ( حی علی الفلاح ) Ke Waqt Ye Alfaaz Kahe "la Hawla Vala Quvvata Illa Billahil Aliyyil Azeem -
لا حول ولا قوة إلا بالله العلي العظيم"
aur "as Salatu Khayrum Minnan Navm - الصلوۃ خیر من النوم ) Ke Waqt Kahe "sadakta V Bararta - صدقت و بررت"

▪️agar Koi Aadmi Chal Raha Ho, Aur Wo Azaan Sune, To Behtar Ye Hai, Ke Kuch Der Ruk Jaye, Aur Azaan Ka Jawab De.

▪️azaan Ke Bich Baat-cheet Karna Munasib Nahi Hai.

▪️fatawa Mahmudiyah 5/424 Me Masla Likha Hai,
sawal : Aek Aadmi Masjid Me Vuzu Kar Raha Hai, Ya Quran Padh Raha Hai, Ya Hadees V Fiqh Padh Raha Hai, Ya Bayan/taqreer Kar Raha Hai, Aur Idhar Muazzin Ne Azzan Shuru Kardi, To Kya Ye Apna Amal Rok Kar Jawab De, Ya Apna Amal Jari Rakhe ?
jawab : Vuzu Karta Rahe, Baki Kamo Me Afzal Ye Hai, Ke Un Ko Band Karke Azaan Ka Jawab De, Lekin Agar Un Ko Jari Rakha, Tab Bhi Gunah Nahi Hai.

▪️azzan Ke Baad Durud Sharif Padh Kar Ye Duaa Padhe, Is Se Hazrat Nabi E Kareem ﷺ Ki Shafaat Wajib Ho Jati Hai.
▪️ اَللّٰهُمَّ رَبَّ هٰذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ، وَالصَّلاَةِ القَائِمَةِ، اٰتِ مُحَمَّدَ نِ الْوَسِيلَةَ وَ الْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَّحْمُودَ نِ الَّذِيْ وَعَدْتَّهٗ، اِنَّكَ لَا تُخْلِفُ الْمِیْعَادَ ـ
▪️ Tarjama : Ae Allah ! Is Poori Pukaar (mukammal Dawat) Ke Rab Aur Qaaim Hone Wali Namaz Ke Rab ! Mohammad ﷺ Ko Waseela Ataa Farma, Aur Un Ko Fazeelat Ataa Farma, Aur Un Ko Maqam E Mahmood Par Pouncha, Jis Ka Tu Ne Un Se Wada Kiya Hai. Be Shak To Wada Khilafi Nahi Karta Hai .    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Tilawat Ke Bich Azaan Ka Jawab
Sawal : Tilawat Ke Bich Azaan Shuru Ho Jaye, To Kya Hukm Hai ? Tilawat Jari Rakhe, Ya Rok De ?

view more..


Takbeer E Ula Me Shamil Hone Ka Matlab
Sawal : Takbeer E Ula Ke Sath Namaz Ada Karen Ke Bare Me Wazahat Matlub Hai, Ke Kab Tak Ham Apne Aap Ko Takbeer E Ula Me Shamil Maan Sakte Hai ?

view more..


Masjid me tilaawat karne wale azan ke waqt kya kare.
Sawal : Masjid me Qur'an padhne wale ka azan ka jawab dena afzal he, ya tilaawat jaari rakhna afzal he ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 5
  • 8
  • 8
  • 6
  • 3
times