Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
23 April 2025
Wednesday
23 Shawwal 1446
Sawal No : 216
Bab : NAMAZ
Fasl : AZAN / IQAMAT
Topic : Tilawat Ke Bich Azaan Ka Jawab
Sawal : Tilawat Ke Bich Azaan Shuru Ho Jaye, To Kya Hukm Hai ? Tilawat Jari Rakhe, Ya Rok De ?
Jawab : Tilawat Jari Ho, Aur Azaan Hone Lage, To Tilawat Karne Wala Agar Ghar Me Ho, To Use Tilawat Mauquf Kar Ke Azaan Ka Jawab Dena Chahiye.
▪️ Albatta Dusre Mohalle Ki Masjid Ki Azaan Ho, To Tilawat Jari Rakhne Me Harj Nahi Hai.
▪️ Aur Agar Tilawat Karne Wala Masjid Me Ho, To Dono Bato Ki Ijazat Hai, Chahe To Tilawat Jari Rakhe, Aur Chahe To Tilawat Mauquf Karke Azaan Ka Jawab De.
▪️ Al-batta Afzal Aur Mustahab Yahi Hai, Ke Tilawat Band Karke Azaan Ka Jawab De, Isliye Ke Tilawat Baad Me Dobara Ho Sakti Hai, Magar Azaan Ke Jawab Ka Mauqa Phir Nahi Milega.
( Mustafad Az:fatawa Rahimiyyah 2/408,fatawa Qasmiyyah 5/456 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 26-05-2024
download in PDF
related question
Azaan Ke Waqt Kya Kare ?
Sawal : Azaan Ke Waqt Azaan Sunne Wale Kya Kare ?
view more..
Takbeer E Ula Me Shamil Hone Ka Matlab
Sawal : Takbeer E Ula Ke Sath Namaz Ada Karen Ke Bare Me Wazahat Matlub Hai, Ke Kab Tak Ham Apne Aap Ko Takbeer E Ula Me Shamil Maan Sakte Hai ?
view more..
Masjid me tilaawat karne wale azan ke waqt kya kare.
Sawal : Masjid me Qur'an padhne wale ka azan ka jawab dena afzal he, ya tilaawat jaari rakhna afzal he ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
1
4
0
4
4
times