Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
23 November 2024
Saturday
19 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 66
Bab : JANAZA / MAYYIT
Fasl : JANAZA / MAYYIT KE MASAIL
Topic : Mayyit Ke Ghar Se Janaza Le Jate Wakt Aurto Me Ijtimayi Shakal Me Duaa Karna
Sawal : Mayyit Ke Ghar Se Janaza Le Jate Wakt Aurto Me Ijtimayi Shakal Me Duaa Hoti Hai, Ek Aurat Duaa Karti Hai, Baki Sab Aameen Kehte Hai, In Aurto Ki Aawaz Ghar Ke Bahar Mard Bhi Sunte Hai, Kya Ye Amal Saheeh Hai ?
Jawab : Mayyit Ko Ghar Se Bahar Nikaalte Waqt Koi Khas Duaa Qur'an Sharif Ya Hadis Sharif, Isi Tarah Deen Ke Moa'tabar Ulama Ki Janib Se Batane Me Ya Muta'ayyan Karne Me Aayi Nahi Hai, Hamare Yaha Jo Janaze Ko Nikalte Waqt Ghar Me Kuch Cheeze Aur Duaae Karne Me Aati Hai, Wo Ek Rasam Aur Bid'at Ban Chuki Hai, Jisko Band Karna Chahiye, Kyun Ke Jo Cheeze Shari'at Se Sabit Na Ho, Usko Sawab Ki Niyyat Se Karna Gunah Hai. Hawala ( Makhuz Az Fatawa Diniyyah 2/409,410, Fatawa Rahimiyyah 7/112)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 16-11-2023
download in PDF
related question
Chote Bacche Aur Bacchi Ko Gusal Dena
Sawal : Chote Bacche Aur Bacchi Ko Kon Gusal De ?
view more..
Mayyit Ko Gusal Dene Ki Ujrat
Sawal : Mayyit Ko Gusal Dene Wale Ko Ujrat Dena Kab Jaiz Hai ?
view more..
Mayyit Ko Kon Gusal Dega
Sawal : Mayyit Ko Kon Gusal De ?
view more..
Gusal Se Pehle Mayyit Ke Pass Quran Ki Tilawat
Sawal : Kya Gusal Se Pehle Mayyit Ke Pass Quran Ki Tilawat Karna Durust Hai ?
view more..
Intiqaal Ke Baad Biwi Aur Shohar Ka Hukm
Sawal : Kya Intiqaal Ke Baad Biwi Shohar Ka Aur Shohar Biwi Ka Chehra Dekh Sakta Hai ? Aur Gusal - Kafan Dene Ka Kya Hukm Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
7
1
0
4
9
times