21 November 2024

Thursday

17  Jamadi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 64
Bab : QASAM / MANNAT
Fasl : QASAM / MANNAT KE BARE ME
Topic : Qasam Khana Aur Tootne Par Kaffara Dena
Sawal : Qasam Khane Ke Bare Me Shari'at Me Kya Rehnumai Hai, Aur Agar Koi Is Ko Pura Na Kare, To Us Ka Kaffara Kya Hoga ? Tafseel Se Batla'iye.
Jawab : Qasam Ke Bare Me Tafseel Ye Hai,
( 1 ) Bagair Zarurat Qasam Khana Pasandeeda Nahi Hai.
( 2 ) Zarurat Aur Majburi Me Qasam Khani Pade, To Allah Ke Name Aur Allah Ki Sifaat Hi Ki Kha Sakte Hai.

▪️ Agar Allah Ya Allah Ki Sifaat Ke Alawa Ki Qasam Khai, To Wo Qasam Sahi Nahi Hoti, Aur Uska Pura Karna Bhi Zaruri Nahi, Aur Us Ko Pura Na Karne Par Koi Kaffara Bhi Nahi.

▪️ Kisi Ja'aiz Kaam Ke Karne Ki Qasam Khai Ho, To Qasam Puri Karne Ki Koshish Ki Jaye, Aur Agar Kisi Wajah Se Qasam Puri Na Kar Sake, To Kaffara Ada Kare.

▪️ Aur Agar Kisi Na Jai'z Aur Bure Kaam Par Qasam Khai Ho, To Us Par Amal Ke Bajaye Qasam Tod De, Aur Kaffara Ada Kare.

▪️ Qasam Ka Kaffara Ye Hai,
( 1 ) Das Miskeeno Ko Pet Bhar Kar Do Waqt Ka Khana Khila Diya Jaye.
( 2 ) Ya Das Miskeeno Mein Se Har Aik Ko Sadqat Ul Fitr Ki Miqdaar Ke Baqadar Genhu ( Yani 1.750 K.g Gehu Ya Us Ki Raqam ) Aur Agar Juwar De, To Us Ka Dugna ( Yani Taqreeban 3.500 K.g Juwar Ya Us Ki Raqam ) Di Jaye,
( 3 ) Ya Das Faqeero Ko Aik Aik Joda Kapda Pehna Diya Jaye.

▪️ Aur Agar Koi Khud Itna Gareeb Hai, Ke Na To Khana Khila Sakta Hai, Aur Na Kapde De Sakta Hai, To Qasam Ke Kaffare Ki Niyyat Se Musalsal Teen Rozay Rakhe, Agar Alag Alag Kar Ke Teen Rozay Pooray Kar Liye, To Kaffara Ada Nahi Hoga. Agar Do Rozay Rakhne Ke Baad Darmiyan Mein Kisi Uzr Ki Wajah Se Ek Roza Chhut Gaya, To Ab Dobarah Musalsal Teen Rozay Rakhe.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Fix Din Roza Rakhne Ki Mannat Maani Aur Kisi Uzr Ki Wajah Se Na Rakh Sake To Ab Kya Kare
Sawal : Agar Kisi Aurat Ne Mannat Maani Ho Ke Us Ka Fulan Kaam Pura Hoga To Wo Us Ke Bilkul Baad Wale Din Roza Rakhegi Or Agr Us Din Us Ke Haiz Ke Ayyam Chal Rahe Ho To Mannat Puri Krne Ka Kya Hukm He?

view more..


Kisi Kaam Ke Karne Ki Niyyat Puri Na Ho Sake, To Kya Kare ?
Sawal : Agar Koi Kaam Karne Ki Niyyat Ki Ho, Aur Wo Niyyat Puri Na Ho Sake, Ya Toot Jaye, To Is Condition Me Kya Kare ?

view more..


Mannat Manne Ki Tafseel
Sawal : Mannat Manne Ka Kya Hukm Hai ?aur Us Ke Liye Kya Kya Hona Zaruri Hai ?

view more..


Bhul Se Qasam Khana
Sawal : Kisi Insan Ne Bhul Se Qasam Khali, To Us Ke Bare Me Islam Ka Kya Hukm He ? Kya Us Par Qasam Todne Ka Kaffara Aayega ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 7
  • 0
  • 5
  • 3
  • 1
times