30 October 2025

Thursday

7  Jamadi-Ul-Awwal  1447

Sawal No : 354
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : HUQUQ / AADAB
Topic : Kaamchor Rishtedaar Ko Paise Dena
Sawal : Agar Koi Rishtedaar Baar-baar Madad Ke Liye Paise Maang Raha Ho, Chahe Chhoti Raqam, Aur Woh Physically Aur Mentally Itna Stable Ho Ke Khud Kaam Kar Sakta Hai, Par Kaam Nahi Karta Hai, Toh Agar Aise Rishtedaar Ko Raqam Dene Se Mana Kar De, Toh Is Surat Mein Rishtedaar Ko Madad Na Karne Ka Gunah Milega? Aur Kya Aise Rishtedaaron Ki Bhi Humein Hamesha Madad Karte Rehna Chahiye?
Jawab : Mazkoorah Sawal Ke Do Juz Hain.
▪️ Pehla Juz : Mazkoorah Surat Mein Gunah Hoga?
▪️ Pehle Juz Ka Jawab : Surat-e-mas’oolah Mein Agar Shar‘i I‘tibaar Se Aisi Haalat Na Payi Jaye, Jis Mein Unki Madad Karna Wajib Ho, To Madad Na Karne Se Gunah Nahi Hoga.

▪️ Doosra Juz : Kya Aise Rishtedaar Ki Madad Karni Chahiye?
▪️ Doosre Juz Ka Jawab : Jo Log Kamane Par Qudrat Rakhte Ho, Uske Bawajood Baghair Zaroorat Ke Logon Se Maangte Hain, Unke Liye Hadees Mein Sakht Wa‘eed Aayi Hai, Unhein Chahiye Ke Is Se Apne Aap Ko Bachayein.

▪️ Bukhari Shareef Mein Hai:
عن عبيد الله بن أبي جعفر قال: سمعت حمزة بن عبد الله بن عمر قال: سمعت عبد الله بن عمر رضي الله عنه قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم: (ما يزال الرجل يسأل الناس، حتى يأتي يوم القيامة ‌ليس ‌في ‌وجهه ‌مزعة ‌لحم) إلخ.
▪️ Tarjama - "qayamat Mein Aise Shakhs Ke Chehre Par Gosht Nahi Hoga."

▪️ Yeh Dar-asal Duniya Mein Apni Izzat Gawane Ki Alamat Hogi.

▪️ Al-batta Unki Is Buri Aadat Ke Bawajood Agar Sila-rahmi Ki Niyyat Se Un Ki Madad Ki Jaye To Uski Fazilat Haasil Hogi.
▪️ Phir Bhi Woh Rishtedaar Is Gunah Mein Mubtala Na Ho, Uske Liye Aisi Tadbeer Ki Jaye Jisse Woh Sawaal Ka Aadi Na Bane, Misaal Ke Taur Par
▪️ Unki Madad Qarz Keh Kar Ki Jaye
▪️ Ya Rozgaar Shuru Kar Diya Jaye
▪️ Ya Unke Maangne Se Pehle Hi Unko Pahucha Diya Jaye Wagairah. ( Khulasa: Darul Ifta Deoband Wa Binnori Town Online )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Foreign Me Rehne Vale Bhai Par Ammi Ki Khidmat Ki Zimmedaari
Sawal : 2 Bhai Hai, Aek Foreign Me Rehta Hai, Dusra Bhai India Me Ammi Ke Sath Rehta Hai, Is Me Ammi Ki Khidmat Ki Zimmedari Kis Bete Ki Hogi ? Dono Ki ? Ya India Me Ammi Ke Sath Jo Rehta Hai, Sirf Us Ki Hogi ? Aksar Logo Me Ye Bat Hoti Hai, Ke Jo Ladka Ammi Ke Sath Rehta Hai, Ammi Ki Khidmat Ki Zimmedari Usi Ki Hogi.

view more..


Logo Ki Sahulat Ke Liye Banaye Gaye Rules Follow Karna
Sawal : Masjid / Madrasa / Dini Ijtimaa't / Marriage Hall Etc... Jesi Jaghe Jaha Par Log Jama Hote Hai, Vaha Par Intizam Karne Wale Hazraat Apni Taraf Se Logo Ki Sahulat Ke Liye Kuch Rules Banate Hai, Jese Parking Yaha Karo, Kursi Yaha Rakkho, Etc... To Kya In Sab Rules Ko Follow Karne Me Sawab Milega ? Isi Tarah Agar Koi Follow Nahi Karta Hai, Aur Nizam Kharab Karta Hai, Jis Se Logo Ko Takleef Hoti Hai, To Aese Shakhs Ke Bare Me Kya Hukm Hai ?

view more..


Azaeem Ya Irada Pura Na Hone Per Momin Gunehgar Hoga ?
Sawal : Azaeem Aur Irade Ke Haqiqi Mane Kya Hai? Kya Azaeem Ya Irada Pura Na Hone Per Momin Gunehgar Hoga?

view more..


Rishtedar ko gali dena
Sawal : Shar'eeat me gali Dena kaisa he ?
Khas kar ke kisi rishtedar ko di jaye to ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 1
  • 7
  • 0
  • 9
  • 9
  • 6
times