Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 20
Bab : NAMAZ
Fasl : EIDUL FITR / AZHA
Topic : Masbooq ( Jiski Rakaat Chuth Gayi Ho ) Kese Padhe ?
Sawal : Agar Kisi Ki Eid Ki Namaz Me Ek Rakat Chut Jaye, Ya Dono, To Takbiraat-e-waajibaat Kab Kahi Jaye ?
Jawab : Agar Pheli Rakat Me Sharik Huva, Or Imam Ne Qiraat Shuru Kardi, To Takbir-e-tahrima Ke Baad Takbiraat-e-waajibaat Kahe, Agar Ruku Me Imam Sahab Ko Paya, Or Galib Guman He, Ke Takbiraat-e-waajibaat Kehne Ke Baad Imam Ko Ruku Me Paa Lega, To Qiyam Ki Haalat Me Hi Waajib Takbiraat Adaa Kare, Warna Ruku Me Haath Uthaae Bagair Waajib Takbir Keh De, Or Agar Dusri Rakat Me Shaamil Huva, To Imam Sahab Ke Salaam Ke Baad Jab Apni Namaz Padhega, To Qiraat Ke Baad Waajib Takbir Kahe, Or Agar Tashhud Me Shaamil Huva, To Imam Sahab Ke Tariqe Pr Namaz Puri Karein. ( Fatawa Darul Uloom Zakriyya 1 - 734 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 20-09-2023
download in PDF
related question
Eid Ki Namaz Ke Baad Khutbe Se Pehle Qurbani Karna
Sawal : Agar Eid Ki Namaz Ke Baad Khutbe Se Pehle Qurbani Ki, To Sahi Hogi Ya Nahi ?
view more..
Eid Ul Azha ( Baqra Eid ) Ki Namaz Ka Waqt
Sawal : Eid Ul Azha ( Baqra Eid ) Ki Namaz Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hai ?
view more..
Eid Ki Namaz Ka Tareeqa
Sawal : Eid Ki Namaz Ka Tareeqa Kiya Hai?
view more..
"eid Mubarak" Kehna
Sawal : "eid Mubarak" Kehna Kaisa Hai ?
view more..
Eidul Fitr Ke Din Ki Sunnate
Sawal : Eidul Fitr Ke Din Ki Sunnate Kya Hai?
view more..
View all sawal
Total visited
7
0
6
9
1
times