Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
19 July 2025
Saturday
22 Muharram 1447
Sawal No : 336
Bab : NAMAZ
Fasl : EIDUL FITR / AZHA
Topic : Qurbaani Ke Din Qurbaani Ke Gosht Se Khana Shuru Karna
Sawal : Eid Al Adha Ke Din Kuch Der Roza Rakha Jata Hai, Subah Sadiq Se Eid Ki Namaz Tak, Kya Ye Qur'an Ya Hadith Se Sabit Hai ?
Jawab : Eid Ul-adha Ke Din Roza Rakhna Jaiz Nahi Hai.
▪️ Lekin Jo Shakhs Qurbani Karna Chahta Hai, Us Ko Apni Qurbani Ke Gosht Se Khana Shuru Karna Aur Is Se Pehle Kuch Na Khana Mustahab Hai, Yehi Hadith-e-mubaraka Se Bhi Sabit Hai.
▪️ Log Is Par Amal Karne Ki Koshish Karte Hai, Aur Jin Ke Liye Qurbani Nahi Hai, Unke Liye Bhi Kisi Ki Qurbani Ke Gosht Se Khana Shuru Karna Afzal Hai.
▪️ Kyunki Deen E Islam Me Roza Kuch Der Khane Pine Se Bachne Ka Naam Nahi Hai, Balke Roze Ki Niyyat Se Subah Sadik Se Gurub Tak Rukne Ka Naam Hai.
▪️ Aur Eid Ul Adha Ke Din Ye Jo Pegam Diya Jata Hai, Jo Aap Ke Ilm Me Aaya Hai, Ke Qurbani Ke Din Gosht Aane Tak Khane Pine Se Kuch Der Bachte Hai, To Is Ka Naam Roza Nahi Hai, Balke Is Fazilat Par Amal Karne Ke Liye Rukte Hai, Ke Eid Ul-adha Ka Din Allah Ki Taraf Se Mehman Nawazi Ka Din Hai, Isliye Ye Behtar Hai, Ke Har Shakhs Is Din Ka Khana Allah Ki Dawat Se Yani Qurbani Ke Gosht Se Shuru Kare.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 08-07-2025
download in PDF
related question
Eid Ki Namaz Ke Baad Khutbe Se Pehle Qurbani Karna
Sawal : Agar Eid Ki Namaz Ke Baad Khutbe Se Pehle Qurbani Ki, To Sahi Hogi Ya Nahi ?
view more..
Eid Ul Azha ( Baqra Eid ) Ki Namaz Ka Waqt
Sawal : Eid Ul Azha ( Baqra Eid ) Ki Namaz Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hai ?
view more..
Eid Ki Namaz Ka Tareeqa
Sawal : Eid Ki Namaz Ka Tareeqa Kiya Hai?
view more..
"eid Mubarak" Kehna
Sawal : "eid Mubarak" Kehna Kaisa Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
1
8
6
1
times