Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
14 September 2025
Sunday
19 Rabi-Ul-Awwal 1447
Sawal No : 136
Bab : JANAZA / MAYYIT
Fasl : JANAZA / MAYYIT KE MASAIL
Topic : Chappal Pahan Kar Janaze Ki Namaz Padhna
Sawal : Chappal Pahan Kar Janaze Ki Namaz Hoti Hai ? Ya Nahi ?
Jawab : Agar Chappal Ya Jute Par Najasat ( Napaki ) Nahi Lagi Ho, To Us Me Namaz-e Janaza Padhna Durust Hai, Kyun Ke Namaz-e Janaza Aam Tor Par Masjid Se Bahar Khule Maidan Me Hoti Hai, Aur Namaz-e Janaza Mein Sajda Bhi Nahi, Ke Jis Ki Adaigi Mein Chappal Ya Joote Mushkilaat Peda Kar Saken.
▪️ Agar Joote Ya Chappal Par Najasat Lagi Hui Hai, To Namaz-e Janaza Nahi Hogi, Aur Agar Najasat Sirf Nichle Hisse Par Lagi Ho, Aur Namazi Jootay Utaar Kar Us Ke Upar Per Rakh De, To Namaz E Janaza Ada Ho Jayegi.
▪️ Is Tafseel Se Maloom Huwa Ke :
( 1 ) Agar Jootay / Chappal Pak Hain, To Un Ko Utaarna Zaroori Nahi, Agar Chahe To Unhi Jooton / Chpplo Mein Namaz E Janaza Padh Satke Hain.
( 2 ) Agar Jooton / Chpplon Ka Upari Hissa Napak Hai, To Unhen Utaarna Zaroori Hai .
( 3 ) Agar Sirf Nichla Hissa Napak Hai, To Unhen Utaarna Zaroori Hai, Utaar Kar Un Jooton / Chpplon Par Khaday Ho Sakte Hai.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 13-02-2024
download in PDF
related question
Janazah Ko Kandha Dete Waqt Zor Se Kalima E Tayyiba Padhna
Sawal : Jab Janazah Ko Kandha Diya Jata Hai To Us Mauqe Se Bahut Se Hazraat Aawaaz Ke Sath Kalima E Tayyiba Padhte Hai, Kya Ye Masnoon Hai?
view more..
Chote Bacche Aur Bacchi Ko Gusal Dena
Sawal : Chote Bacche Aur Bacchi Ko Kon Gusal De ?
view more..
Mayyit Ko Gusal Dene Ki Ujrat
Sawal : Mayyit Ko Gusal Dene Wale Ko Ujrat Dena Kab Jaiz Hai ?
view more..
Mayyit Ko Kon Gusal Dega
Sawal : Mayyit Ko Kon Gusal De ?
view more..
Gusal Se Pehle Mayyit Ke Pass Quran Ki Tilawat
Sawal : Kya Gusal Se Pehle Mayyit Ke Pass Quran Ki Tilawat Karna Durust Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
5
5
1
6
1
times