Kisi Ki Kamazori Ya La-ilmi Majme Ke Samne Bayan Karna
Sawal :
Kisi Bhi Shakhs, Jamaat, Ilaqe Walon Ki Kamzori Ya La-ilmi Ko Majme Ke Samne Bayan Karne Ka Kya Hukm Hai? Aam Taur Par Karguzari Mein Hamare Sathi Kehte Hain, Unhe Kalma Bhi Nahi Aata, Namaz Bhi Nahin Aati, Farz Aur Sunnatein Bhi Maloom Nahi Hai Etc. To Aesa Kehna Kesa Hai?
Sawal :
Molana Ilyas Sahab Kandhalvi ( Rahmatullahi Alyhi ) Ki Savaneh Me Likha Hai, Ke Wo Jab 3 Din Jamaat Me Jaate The, To Phir 3 Din Apni Islaah Ki Garz Se Apne Shaikh Hazrat Molana Abdul Kadir Raipuri ( Rahmatullahi Alyhi ) Ki Khanqah Me Jaate The, Magar Aaj Koi Bhi Tableeg Wale Sathi Aisa Nahi Karte, Balke Bade Jo Purane Sathi Hote Hai, Wo To Kisi Allah Wale Se Bait Tak Nahi Hote, Mera Sawal Ye Hai, Ke Jab Molana Ilyas Sahab Kandhalvi ( Rahmatullahi Alyhi ) Ko Khanqah Me Jaane Ki Zarurat Thi, To Ab Jo Akaabir E Tableeg Hai, Unko Ye Zarurat Nahi Rahi ?
Sawal :
Kiya Ghar ka kharcha na ho, aur Jama'at ki shakal ban Rahi ho, to Qarz le kar ghar ke kharche ka nazam kar liya jaye, aur phir Jama'at me nikle, to kiya iski gunja'ish hogi ? Ya Allah par bharosa karte huwe ke Allah ghar walo ke liye nazm kar dega, nazm kiye bagair nikalna sahi hoga ?