18 October 2024

Friday

13  Rabi-Ul-Aakhar  1446

Sawal No : 76
Bab : QURAN / HADEESH / DUSRE ULOOM
Fasl : TABLEEG
Topic : Tableeg Me Jane Walo Ka Bait Hona
Sawal : Molana Ilyas Sahab Kandhalvi ( Rahmatullahi Alyhi ) Ki Savaneh Me Likha Hai, Ke Wo Jab 3 Din Jamaat Me Jaate The, To Phir 3 Din Apni Islaah Ki Garz Se Apne Shaikh Hazrat Molana Abdul Kadir Raipuri ( Rahmatullahi Alyhi ) Ki Khanqah Me Jaate The, Magar Aaj Koi Bhi Tableeg Wale Sathi Aisa Nahi Karte, Balke Bade Jo Purane Sathi Hote Hai, Wo To Kisi Allah Wale Se Bait Tak Nahi Hote, Mera Sawal Ye Hai, Ke Jab Molana Ilyas Sahab Kandhalvi ( Rahmatullahi Alyhi ) Ko Khanqah Me Jaane Ki Zarurat Thi, To Ab Jo Akaabir E Tableeg Hai, Unko Ye Zarurat Nahi Rahi ?
Jawab : Asal Tariqa Ye Hai, Ke Tableeg Aur Jamaat Mai Jane Ke Sath Allah Walo Se Aapna Islahi Taalluk Mazbut Rakha Jaye, Is Tarah Karne Se Aadmi Aetedal Par Rehta Hai, Aur Allah Taala Aese Logo Se Ummat Ko Fayda Bhi Pahunchate Hai.

▪️ Rahi Ye Baat, Ke Aaj Kal Tableeg Wale Bait Tak Nahi Hote, To Ye Unke Liye Nuksan Ki Baat Hai, Aur Aakabir E Tabligh Ke Nahaj Se Hatna Hai, Jo Unki Dawat Aur Amal Me Bhi Kamzori Paida Kar Dega, Aur Sirf Bait Ho Jana Bhi Maqsood Nahi, Balke Apne Shiekh Se Raabte Mai Rehna, Unki Hidayat Par Amal Karna Bhi Zaruri Hai.

▪️ Or Aaj Bhi Aakabir E Tableeg Jo Sahi Mano Mai Kaam Kar Rahe Hai, Vo Hazraat Bhi Kisi Ne Kisi Sahib-e- Nisbat Buzurg Se Apna Islahi Taaluq Qaim Kiye Huve Hai, Aur Allah Taala Unse Bada Kaam Le Raha Hai, Or Bahot Se Motadil Mizaj Tableegi Hazraat Bhi Bait Hote Hai, Lihaza Aaj Bhi Alhamdulillah Sahih Log Mojud Hai, Aur Eso Ke Sath Mil Kar Ulama E Din Ke Under Mai Rehte Huwe Kaam Karna Chaiye.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
"ramzan Ka Mahina, Shabe Qadr Ki Raat, Kaba Jesi Jagah Se Behtar Allah Ke Raaste Me Niklna" Ki Tahqeeq
Sawal : Tabligi Jamat Me Ek Hadees Bayan Ki Jaati Hai "agar Kisi Sakhs Ko Ramzan Ka Mahina Mil Jaaye, Shabe Kadar Ki Raat Mil Jaaye, Aur Baitullah ( Kaba ) Jesi Jagah Mil Jaaye, Us Se Behtar Hai, Allah Ke Raaste Me Todi Der Ka Nikal Jaana" Kya Ye Baat Sahi Hai ?

view more..


Qarz le kar Jama'at me Jana
Sawal : Kiya Ghar ka kharcha na ho, aur Jama'at ki shakal ban Rahi ho, to Qarz le kar ghar ke kharche ka nazam kar liya jaye, aur phir Jama'at me nikle, to kiya iski gunja'ish hogi ? Ya Allah par bharosa karte huwe ke Allah ghar walo ke liye nazm kar dega, nazm kiye bagair nikalna sahi hoga ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 5
  • 4
  • 4
  • 6
times