Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 67
Bab : HAJ / UMRAH
Fasl : UMRAH
Topic : Umrah Ki Definition Aur Kaam
Sawal : Umrah Kis Ko Kehte Hai ? Aur Is Me Kitne Kaam Hote Hai ?
Jawab : Umrah Arbi Zuban Ka Lafz Hai, Jis Ka Dictionary Me Mana Hai, Kisi Aabaad Jagah Jakar Kisi Kaam Ke Karne Ka Irada Karna.
▪️ Aur Shariyat Me : Kuch Kaamo Ke Sath Baytullah Ki Ziyarat Karne Ko Kehte Hai.
▪️umrah Me 4 Kaam Zaruri Hai, 2 Farz, 2 Wajib.
( 1 ) Aehram Ki Niyyat Karte Huwe Labbayk Padhna, Ye Farz He.
( 2 ) Kaba Ka Tawaf Karna, Is Ke 4 Chakkar Farz He, Baqi 3 Chakkar Wajib Hai.
( 3 ) Safa Marwa Ki Saee Karna, Yani 7 Chakkar Lagana, Safa Se Shuru Karke Marwa Per Khatm Karna.
( 4 ) Mard Ka Apne Baal Mundwana, Ya Bade Ho, To Ungli Ke Porwe Ke Barabar Katarwana, Aurat Ka Ungli Ke 1 Porwe Ke Barabar Katarwana.
(kitabul Masail 3/411 Se Makhuz)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 04-01-2024
download in PDF
related question
Gair Mehram Rishtedar Ki Taraf Se Umrah Karna
Sawal : Kya Koi Mard Gair Mehram Rishtedar Ki Taraf Se Umrah Kar Sakta Hai ?
view more..
Umre Me Labbayk Kab Tak Padhna He
Sawal : Umre Me Labbayk Kab Tak Padhna He
view more..
Umrah Me Labbaik Padhne Ka Starting Aur Ending Ka Waqt
Sawal : Umrah Me Labbaik Kab Se Kab Tak Padhna Chahiye ?
view more..
Umrah Ka Makruh Waqt
Sawal : Umrah Karna Kab Makruh Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
7
0
4
7
9
times