Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
22 December 2024
Sunday
19 Jamadi-Ul-Aakhar 1446
Sawal No : 56
Bab : QURBANI
Fasl : AQEEQAH
Topic : Qarz Le Kar Aqeeqa Karna
Sawal : Kisi Shaksh Ke Yaha Bachche Ki Viladat Ho, Aur Us Shaksh Ke Paas Itni Rakam Mojud Nahi Hai, Ke Wo Saat ( 7 ) Roz Ke Baad Aqeeqa Kar Sake, To Kab Tak Aqeeqa Kiya Ja Sakta Hai ? Kya Aqeeqa Maaf Ho Jayega, Yaa Udhaar Le Kar Aqeeqa Karna Zaruri Hoga ?
Jawab : Aqeeqa Karna Farz Aur Wajib Nahi, Balke Mustahab Amal Hai. (kitabul Masa'il : 2/ 338) Aur Isi Tarah Saatwe Din Aqeeqa Karna Afzal Hai, Agar Saatwe Din Kisi Wajah Se Na Kar Sake, To 14 Wain Din Ya 21 Wain Din Kar Lain, Ya Phir Jab Bhi Gunja'ish Ho, Paida'ish Ke Saatwe Din Ka Hisab Laga Kar Karna Behtar Hoga. (kitabul Masa'il : 2/ 341) Uska Andaza Lagana Is Se Aasaan Ho Jayega, Ke Jis Din Paida Ho, Us Se Ek Din Pehle Aqeeqa Kar Liya Jaye, Misal Ke Tor Par Peer Ko Bachcha Paida Huwa, To Itwar Ko Saatwa Din Hoga, To Jab Bhi Gunja'ish Ho, Tab Us Bachche Ka Itwar Ko Aqeeqa Karna Afzal Hoga. Lihaza Ye Mustahab Amal He, Aur Zindagi Ke Kisi Bhi Saatwe Din Karna Afzal He, Is Liye Qarz Le Kar Aqeeqa Nahi Karna Chahiye, Gunja'ish Ho, Tab Hi Kare.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 03-11-2023
download in PDF
related question
Aqeeqah Ke Moqe Se Hadya Lena
Sawal : Aqeeqah Me Bachche Ki Nani Ki Taraf Se Hadiya Le Sakte Hai ?
view more..
Bachche Ke Paiso Se Aqeeqah Karna
Sawal : Na-baaligh Bachchay Ke Paas Agar Hadiya Aaya Ho, To Us Ke Zariye Se Uska Aqeeqah Kar Sakte Hai ?
view more..
Qurbani Ke Bade Janwar Me Aqeeqah Ka Hissa Rakhna
Sawal : Qurbani Ke Bade Janwar Me Aqeeqah Ka Hissa Rakhna Kesa Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
7
5
3
5
4
times