Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
15 October 2025
Wednesday
21 Rabi-Ul-Aakhar 1447
Sawal No : 385
Bab : PAKI / NAPAKI
Fasl : HAIZ / NIFAS
Topic : Do Din Ke Baad Haiz Ka Khoon Nazar Nahi Aata Hai To Kya Hukm Hai
Sawal : Kisi Shadi-shuda Aurat Ko 2 Din Hi Haiz Ka Khoon Aata Ho, To Use Kab Paki Ka Gusal Karna Chahiye? Or Kitne Din Baad Shohar Se Hambistari Kar Sakti Hai ?
Jawab : Haiz Ki Kam Se Kam Muddat 3 Din Hai, Us Se Kam Haiz Nahi Hota Hai, Lekin Is Poori Muddat Me Khoon Ka Nazar Aana Zaroori Nahi Hai, Balke Pehle 2 Din Khoon Nazar Aaya, Aur Phir 4 Din Baad Khoon Aaya To Tamam 6 Din Haiz Hi Ke Honge.
▪️ Surate Masuulah Me Agar Do Din Haiz Aaya, Aur Phir 10 Din Mukammal Hone Tak Khoon Nahi Aaya To Is Soorat Me Ye Khoon Istihazah ( Bimari ) Ka Khoon Hoga, Is Darmiyan Shohar Se Humbistari Bhi Ki Ja Sakti Hai, Aur Namzein Padhna Bhi Zaroori Hai, Agar Namaz Faut Ho Jaye, To Qaza Karna Zaroori Hai.
▪️ Aur Agar Pehle Do Din Khoon Aaya Ho, Phir Mukammal 10 Din Tak Ke Darmiyan Jab Khoon Aaye Woh Poora Zamana Haiz Samjha Jayega, Usme Namaz Na Padhe Aur Na Qaza Lazim Hai, Aur Humbistari Bhi Jaiz Nahi.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 15-09-2025
download in PDF
related question
Haiz Ke Dino (periods) Me Zikr Karna/ Tasbeeh Padhna
Sawal : Kya Haiza Aurat Zikar Wagera Kar Sakti Hai Jab Ke Is Ko Namaz Aur Roza Wagera Se Roka Gaya Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
6
5
8
4
6
times