Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
14 September 2025
Sunday
19 Rabi-Ul-Awwal 1447
Sawal No : 381
Bab : HADYA / GIFT
Fasl : HADYA / GIFT KE BARE ME
Topic : Apni Hayati Mein Maal-milkat Taqseem Karne Ka Tariqa
Sawal : Agar Koi Walid Apni Hayati Mein Apni Awlaad Ke Darmiyan Maal-milkat Taqseem Karna Chahe To Kese Taqseem Kare ?
Jawab : Agar Walid Apni Hayati Mein Apni Awlaad Ke Darmiyan Maal-milkat Taqseem Karta Hai, Use Hadya (gift) Kaha Jata Hai.
▪️ Apni Awlaad Ko Hadya (gift) Dete Waqt Behtar Ye Hai, Ke Sab Ko Barabar Hissa Diya Jaye, Jitna Hissa Ladke Ko Diya Jaye, Utna Hi Ladki Ko Bhi Diya Jaye.
▪️ Agar Koi Walid Ye Chahta Hai, Ke Mere Marne Ke Baad Mere Bacchon Ko Shari'at Ke Hisab Se Jo Hissa Milne Wala Hai, Vo Abhi Hi De Diya Jaye, To Is Ki Bhi Ijaazat Hai.
▪️ Isi Tarah Agar Koi Walid Apne Kisi Bacche Ko Us Ki Zarurat Aur Hajat Ki Wajah Se, Ya Deeni Mashgale Ki Wajah Se Ya Doosri Koi Fazilat Ki Wajah Se Zyada Dena Chahe, Aur Doosre Bacchon Ko Nuksaan Pahunchane Ka Iraada Na Ho, To Is Tarah Zyada Dene Ki Bhi Ijaazat Hai. (khulasa Az Fatawa Mahmoodiya - 16/502)
▪️ Note : Islamic Law Ke Hisab Se Hadya (gift) Usi Waqt Mukammal (complete) Hota Hai, Jab Us Cheez Ka Physically Qabza Bhi De Diya Jaye, Sirf On Paper Name Par Karna Kafi Nahi Hai.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 27-08-2025
download in PDF
related question
View all sawal
Total visited
1
5
5
1
0
3
times