Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 July 2025
Monday
24 Muharram 1447
Sawal No : 31
Bab : BATIL FIRQE
Fasl : AHLE HADEESH
Topic : charo imamo ki taqlid na karna nafsani khwahish he.
Sawal : char imamo me se kisi imam ki taqlid na karne ki surat me khas tor par moujudah zamane me shariat ke hisab se koi kharabi aur pakad to nahi he ?
Jawab : chunk is zamane me nafs ki khwahishat par amal karne ka zor he, is liye taqlid ko tark kar Dene me sakht gumrahi aur zalalat ka khof he, khud gair muqallidin ulma bhi yahi Rai rakhte he.
Molana Muhammad Husain batalwi jo mashur gair muqallid aalim he, Tahrir karte he ke " tajrube se ye baat malum Hui, ke jo log be Ilmi ke sath mujtahid mutlaq hone ka dawa karte he aur mutlaq taqlid ke Tarik (choodne wale) ban jate he, , woh aakhir Islam ko salam keh bethte he"(اشاعت السنہ بحوالہ اختلاف امت اور صراط مستقیم) isliye kisi gair mujtahid musalman ko taqlid ke Tark ( chood Dene ki) ijazat nahi di ja sakti.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 04-09-2023
download in PDF
related question
Ahle hadees kon he ?
Sawal : me ye janna chahta hu, ke ahle hadees aur Hazrat imam Shaafi r.a. KO FOLLOW karne walo me kya farq he ? Imam Shaafi r.a. KO FOLLOW karne wale ahle hadees kahlate HE, ya ye koi alag firqa HE ? AUR IN KE IMAM KON HE ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
2
2
4
8
times