Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
05 February 2025
Wednesday
4 Shaban 1446
Sawal No : 278
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : KUFRIYAH / SHIRKIYAH BATE AUR AAMAL
Topic : Yoga Karne Ka Hukm
Sawal : Kya Yoga Karne Ki Ijazat Hai ? Kuch Yoga Ki Exercise Aesi Hai, Ke Un Ka Mazhab Se Koi Talluq Nahi Hota Hai, Lekin Sehat Me Fayda Hota Hai, Baaz Exercise To Gym Wale Bhi Karate Hai.
Jawab : Wazeh Rahe Ke Yoga Ke Tareeqo Me Se Jin Ka Talluq Barah E Raast ( Direct ) Hindu Mazhab Ya Un Ki Ibadat Ke Kisi Tareeqe Se Hai ( Jese - Surya Namaskar - Jis Me Suraj Ko Khuda Man Kar Uske Saamne Makhsus Halat Ikhtiyar Kar Ke Sajda Kiya Jata Hai ) Ya Un Tariqo Me Un Ki Ibadat Ke Kisi Tareeqe Ki Mushabahat Payi Jati Hai, To Kisi Bhi Musalman Ke Liye Yoga Ke Wo Tareeqe Istemaal Karna Shariyat Ke Mutabik Jaiz Nahi Hai, Aur Jin Tareeqo Ka Talluq Hindu Mazhab Ya Un Ki Ibadat Ke Tareeqe Se Na Ho, Sirf Jismani Werzish Se Ho, Un Tareeqo Ke Mutabiq Yoga Werzish Karne Ki Gunjaish Hogi, Lekin Is Mein Bhi Islami Usoolo Ki Riayat Zaroori Hogi, Jaisa Ke Libas Me Satar Ka Hissa Nazar Na Aata Ho, Na Mahram Se Ikhtilaat ( Mail - Jol ) Na Ho, Aur Dusre Faraaiz Aur Ebadaat Mei Harj Lazim Na Aaye.( Makhuz Az : Online Fatawa Binori Town - Fatwa No.144512100949 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 08-12-2024
download in PDF
related question
Merry Christmas Kehne Ka Hukm
Sawal : Kya Musalman Ke Liye " Merry Christmas" Kehna Jaiz Hai ?
view more..
Prashad Kha Liya, To Kya Kare ?
Sawal : Prashad Ke Muta'alliq Kya Hukam Hai ? Khana Ja'iz Hai Ya Nahi ? Aur Agar Kha Liya Ho, To Kya Karna Chahiye ?
view more..
Qabr par sajda karna or bosa dena.
Sawal : Qabro par sajda or bosa lena kesa he, jabke mazaro par naak peshani tek lete he, or kehte he, ye sajda-e-taazimi he, ibadaat ki niyyat kar ke namaz ki tarah sajdah nahi kiya, to ye sahih he ?
view more..
View all sawal
Total visited
8
4
1
3
4
times