21 July 2025

Monday

24  Muharram  1447

Sawal No : 260
Bab : BUYING / SELLING کتاب البیوع
Fasl : SHARE MARKET / MUTUAL FUND
Topic : Intraday Trading
Sawal : Kya Share Market Me Intraday Jaiz Hai ? Ek Mufti Sb Ka Kehna Hai, Ke Pehle Karna Jaiz Nahi Tha, Ab Hazrat Mufti Taqi Usmani Sb Ne Jaiz Kaha Hai, Aap Rehbari Farmaye.
Jawab : Share Market Ke Apps Me Share Buy Karne Ke Bhut Se Option Hote Hai, Intraday, Delivery Or Mtf Etc.

( 1 ) Intraday Jo Na-jaiz Hai, Us Se Wo Intraday Muraad Hai, Jo Ke Intraday Option Pr Click Kar Ke Share Kharida Jaye, Or Share Market Close Hone Se Pehle Buyer Ki Sell Karne Ki Marzi Na Ho, To Bhi Broker Un Shares Ko Sell Kardega,
▪️ Na-jaiz Hone Ki Wajah Ye Hai, Ke Is Tariqe Se Shares Pr Qabza To Ho Jata Hai, Risk ( Profit & Loss ) Buyer Ke Zimme Me Aajate Hai, Al-batta Qabza Mukammal Nahi Hota Hai, Yani Buyer Ki Marzi Sell Karne Ki Na Ho, Fir Bhi Same Day Market Close Hone Se Pehle Broker Us Ko Sell Kardega.

( 2 ) Stock Market Me Intraday Karne Ka Ek Doosra Tariqa Hai, Jis Me Shares Delivery Option Pr Click Kar Ke Kharide Jata Hai, Ab Wo Market Close Hone Se Pehle Khud Se Sell Nahi Hote Hai, Shares Ki Delivery ( Company Me Name Register ) Indian Share Market Ke Hisaab Se T1 Ya T2 Ke Baad Nse, Bse Ya Cdsl Ke Through Milti Hai, Lekin Risk To Pehle Hi Din Se Buyer Ke Zimme Me Aa Jata Hai, Agar Kharide Huve Shares Ki Company Me T1 Ya T2 Se Pehle Same Day Shares Bech De, To Kya Is Tarah Se Intraday Kar Sakte Hai ?
▪️ Sab Se Pehle Ye Janna Zaruri Hai, Ke Ulama E Kiram Ne Shares Pr Qabza Profit & Loss ( Risk ) Ka Zimme Me Aane Se Maana Hai, Intraday Ki Doosri Shakl Me Risk Buyer Ke Zimme Me Aa Jata Hai, Or Qabza Bhi Mukammal Ho Jata Hai,(market Band Hone Se Pehle Khud Se Sell Hote Hai )
▪️ Al-batta Ek Kharabi Ye Pai Jaati Hai, Ke Shares Ki Delivery Abhi Tak Mili Nahi Hai, T1 Ya T2 Ke Baad Milegi, Is Liye Delivery Se Pehle Shares Ke Bechne Pr Khud Hazrat Mufti Taqi Usmani Sb.( Db ) Ne ( Islam Or Jadeed Musahi Masaail 3/26 ) Pr Likha Hai, Jiska Khulasa Ye Hai, Ke Shariat Ke Etebaar Se Shares Me Risk Ka Buyer Ya Share Holder Ko Milna Qabza Samjha Gaya, Al-batta Ehtiyaat Ka Taqaza Yahi Hai, Ke Jab Tak Shares Name Pr Na Ho, Us Ki Delivery Na Mile, Tab Tak Us Ko Sell Nahi Karna Chaiye.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Mutual Fund & Sip
Sawal : Kya Mutual Fund Or Sip Me Invest Karna Jaiz Hai ?

view more..


Bse Stocks
Sawal : Sawal : A.alaikum W.w
mere Pass Bse Company Ltd Ke
30 Share Hai Jo Mere Broker Ne 2021-22 Main 35000 Ki Amount Ke Aass Pass Kharide The Aaj Is Total Shares Ki Value 1 Lakh 20,000 Ke Aaspass Ki Hai Isme 20 Shares Company Ne
bonus Diye The Uske Sath Ki
value Maine Uper Likhi Hui Hai.

yeh Company Stock Exchange Ki Company Hai

ТОН

q1. Yeh Company Ke Shares Halal Hai Ya Nhi??

02. Agar Haram Hai Toh Pura
stock Hi Haram Hai Ya Phir
shariah Ke Hisab Se Kuch Hissa Haram Main Hai...??

q3. Yeh Company Ke Shares Agar Haram Hai Aur Muje Us Time Pata Tha Ya Nhi Tha Uska Idea Muje Nhi Hai Toh Woh Condition Main Iske Nafa
mere Liye Kaisa Rahega..??

ab Yeh Company Ne Kuch 20 Share Bonus Diya Tha Toh

q3.iska Bonus Share Joke Ek
shayad Gift Hua Toh Woh
halal Honge Ke Haram...??

q4. Iska Dividend Jo Aaye The Woh Halal Hoga Ke Haram...??
agar Haram Hai Aur Woh Use Ho Gya Ho Toh Woh Condition Main Abhi Kya Karna Rahega..??

q5. Aur Iska Jo Nafa Hai Uska Kya Kar Sakte Hai..??

q6. Is Share Ko Buy Aur Sell Karne Main Jo Brokerage Laga Hai Woh Us Nafe Main Se Minus Kar Sakte Hai..??

view more..


View all sawal
Total visited
  • 1
  • 4
  • 2
  • 2
  • 6
  • 4
times