08 September 2024

Sunday

2  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 247
Bab : NAMAZ
Fasl : MUSAFIR
Topic : Car Me Namaz Padhna
Sawal : Agar Kisi Jagah Ki Halat Aesi Ho, Ke Us Jagah Namaz Khule Me Padhne Se Government Ki Janib Se Khof Ho, To Kya Car Me Namaz Padh Sakte Hai ? Ya Agar Time Par Manzil Par Na Pochne Ke Khof Se Car Me Padh Li, To Namaz Hogi ? Or Khud Ki Car Na Ho, Or Driver Rukne Ke Liye Mana Kar Raha Ho, To Kya Us Waqt Namz Padh Li, To Hogi ?
Jawab : Tandurast Aadmi Ka Namaz Me Qiyam ( Sidha Khada Hona) , Ruku / Sajda Karna Or Qible Ke Direction Me Hona Zaruri Hai, Lihaza Chalti Hui Car Me Ye Sab Mumkin Nahi Hai, Agar Qible Ka Rukh Karna Mumkin Bhi Ho, To Qiyam ( Sidha Khada Hona ) Or Ruku / Sajda Nahi Kiya Ja Sakta, Lihaza Car Me Beth Kar Ishare Se Namaz Padhne Se Namaz Nahi Hogi. ( Khulasa Aap Ke Masaail Or Unka Hal 4/102 )

▪️ Aadmi Jab By-road Travel Kare, To Ish Tarah Schedule Banaye, Ke Khaas Tor Se Kisi Namaz Ke Adaa Karne Me Takleef Ka Samnaa Na Karna Pade, Safar Ke Darmiyan Esi Jagah Me Ruka Jaye, Jaha Aasani Se Namaz Ho Sakti Ho.

1 - Agar Kisi Jagah Khule Me Namaz Padhne Pr Hukumat Ki Pabandi Ho, To Esi Jagah Ruk Kr Namaz Padh Li Jaye, Jaha Law ( Qanoon ) Ke Khilaf Na Ho, Kisi Ne Is Uzr Ki Wajah Se Car Me Namaz Padh Li To Namaz Nahi Hogi, Qaza Ho Jane Ka Khof Ho, To Ishare Se Car Me Namaz Padh Le, Baad Me Qaza Karle.

2 - Agar Time Par Manzil Na Pahunchne Ke Khof Se Car Me Hi Namaz Padh Li, To Namaz Nahi Hogi, Kisi Munasib Jagah Utar Kr Us Namaz Ko Wapas Padh Le, Or Waqt Nikal Gaya Ho, To Qaza Karle.

3 - Car Book Karne Se Pehle Driver Se Baat Kar Li Jaye ( Munasib Waqt Me Munasib Jagah Ruka Jaye ) Taake Namaz Acchi Tarah Adaa Ho Jaye, Fir Bhi Agar Driver Namaz Ke Waqt Car Na Roke, Or Car Me Hi Ishare Se Namaz Padh Li Gaye, To Manzil Pr Pahunchne Ke Baad, Waqt Ho To Dobara Padhna Zarori Hai, Or Waqt Nikal Gaya Ho To Qaza Zaruri Hai. ( Khulasa Kitabun Nawazil 5/472 )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Safar Me 4 Rak'at Vali Namaz Me Muqeem Imam Ke Piche 2 Rak'at Padhna
Sawal : Safar Me Ek Masjid Me Zohar Ki Namaz Chalu Thi, Aur Ham Safar Me The, Aur Aakhri Do Raqat Baki Thi, To Ham Ko Safar Ki Do Raqat Phadni Hai, To Ham Us Namaz Me Joint Ho Sakte He ?

view more..


Muqeem Imam Ke Peeche Musafir Ki Rak'at Chut Jaye To Kitni Rak'at Ke Hisab Se Namaz Mukammal Kare ?
Sawal : Safar Me Ek Masjid Me Zohar Ki Namaz Chalu Thi, Aur Ham Safar Me The, Aur Aakhri Do Raqat Baki Thi, To Safar Ki Do Raqat Hamko Padhni Hai, To Ham Us Namaz Me Joint Ho Sakte Hai ?

view more..


Bus Ke Safar Me Namaz
Sawal : Safar Ki Halat Me Namaz Ka Waqt Ho Gaya, Or Hum Bus Me Safar Kar Rahe He, Namaz Qaza Hone Ka Khof Ho, To Us Waqt Kya Kare ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 5
  • 8
  • 9
  • 0
  • 3
times