Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
04 December 2024
Wednesday
1 Jamadi-Ul-Aakhar 1446
Sawal No : 221
Bab : HAJ / UMRAH
Fasl : HAJ
Topic : Arafat Ki Duaa
Sawal : Arafat Ke Medan Me Konsa Zikr Karna Chahiye ?
Jawab : Hazrat Jabir (rz) Huzure Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Irshad Naqal Karte Hai : Jo Musalman Arafat Me Qible Ki Taraf Rukh Kare, 100 Martaba Chotha Kalima Padhe ( La Ilah Illahu Wahdahu La Sharika Lahu Lahul Mulku Walahul Hamdu Yuhyee Wayumeetu Wahuwa Ala Kulli Shayin Qadeer ), Our Surae Ikhlas (qul Huwallah) 100 Baar Padhe, Our 100 Baar Durude Ibrahimi ( Jo Durud Namaz Me Padhte Hai ) Padhe, To Allah Taala Farishto Ko Gawah Banakar Farmate Hai : Mene Is Bande Ki Magfirat Kardi, Our Us Ki Zaat Ke Bare Me Us Ki Sifarish Maan Li, Our Agar Ye Banda Sare Arafat Walo Ke Liye Koi Sifarish Karega To Us Ki Sifarish Qabul Karunga.
( Khulasa, Kitabul Masail 3/290 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 04-06-2024
download in PDF
related question
Muzdalifa Me Namaz Ada Karne Ka Tariqa
Sawal : Haji Muzdalifa Me Magrib Isha Kis Tarah Ada Kare ?
view more..
Business Visa Lekar Haj Ke Liye Jana
Sawal : Business Visa, Visit Visa Ya Tourist Visa Lekar Haj Ke Liye Jane Ka Sharie Hukm Kya Hai ? Is Liye Ke Saudi Government Ki Janib Se Is Tarah Haj Karne Ki Qanuni A'etebar Se Pabandi Hai.
view more..
View all sawal
Total visited
7
2
7
3
1
times