Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 215
Bab : HAJ / UMRAH
Fasl : HAJ
Topic : Business Visa Lekar Haj Ke Liye Jana
Sawal : Business Visa, Visit Visa Ya Tourist Visa Lekar Haj Ke Liye Jane Ka Sharie Hukm Kya Hai ? Is Liye Ke Saudi Government Ki Janib Se Is Tarah Haj Karne Ki Qanuni A'etebar Se Pabandi Hai.
Jawab : Business Visa, Visit Visa Ya Tourist Visa Par Haj Ya Umrah Ke Liye Jana Saudi Government Ke Qanoon Ke Khilaf Hai, Aur Pakde Jane Ki Surat Me Mali Jurmane Ke Sath-sath Saza Milne Ka Bhi Khatra Hota Hai, Jab Ke Shariyat Me Apni Jaan Aur Apne Maal Ki Hifazat Ka Hukm Diya Gaya Hai, Iske Alavah Is Tarah Haj Ya Umrah Karne Me Government Ke Sath Jhoot Aur Dhoke Ka Irtikab Bhi Kiya Jata Hai, Isliye Is Tarah Haj Ya Umrah Karna Na-jaiz Hai.
▪️ Agar Kisi Ne Is Tarah Haj Kar Liya, To Uska Farz To Ada Ho Jayega, Lekin Haj-e Maqbool Ka Darja Hasil Nahi Hoga. ( Yaani Sawab Nahi Milega ) Aur Jhooth Aur Dhokha Dene Ki Vajah Se Sar Per Gunah Ka Vabal Rahega.
( Mustafad Az Online Fatawa Darul Uloom Deoband;fatwa Number:18254)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 26-05-2024
download in PDF
related question
Arafat Ki Duaa
Sawal : Arafat Ke Medan Me Konsa Zikr Karna Chahiye ?
view more..
Muzdalifa Me Namaz Ada Karne Ka Tariqa
Sawal : Haji Muzdalifa Me Magrib Isha Kis Tarah Ada Kare ?
view more..
View all sawal
Total visited
7
0
7
1
2
times