21 November 2024

Thursday

17  Jamadi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 207
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : OTHERS ( JAIZ / NAJAIZ CHEEZE )
Topic : Aulad Na Hoti Ho, To Ivf Ka Ilaj Karana
Sawal : Agar Aulad Na Hoti Ho, To Ivf/icsi Ke Zariye Aulad Hasil Kar Sakte Hai ?
Jawab : Ivf Ya Koi Aisa Tareeqa Ke Jis Me Shohar Ka Sperm Nikal Kar Biwi Ke Andar Daal Kar Hamal Theraya Jaye, Ye Tareeqa Na Ja'iz Hai.
kiu Ke

1) Ye Ek Gair Fitri (un Natural) Tareeqa Hai, Fitrat Mai Ched Chaad Karne Se Aurat Mai Bohot Si Bimariyo Ka Khadsha Rehta Hai.

2) Is Ke Alawa Dusri Kharabi Ye Hai Ke Aurat Ko Apna Satar Docters Ke Saamne Kholna Padta Hai, Jo Shakht Majburi Wali Halat Hi Mai Ja'iz Hai.

3) Mard Ko Bagair Sakht Zarurat Ke Haath Se Mani (sperm) Nikaalna Bhi Ja'iz Nahi Hai.

4) Isi Tarah Kabhi Kabar Aisa Hota Hai Ke Aisi Hospitals Mai Is Tarah Ke Bohot Se Hazraat Ke Ilaj Ek Waqt Mai Chal Rahe Hote Hai, Jis Mai Qawi Imkan Hota Hai Ke Kisi Ek Mard Ka Sperm Dusre Mard Ke Sperm Ke Saath Change Ho Jaye, Aur Aisa Hota Hai, Dusre Ke Maadde Se Bachcha Hona To Aur Zyada Sakht Bura Aur Gunah Hai.

(mahumudul Fatwa: 4/723, Ahsanul Fatawa: 8/215, Fatawa Rahimiyah :10/179, Fatawa Mahmudiyah, 18/322)

▪️ Us Ke Bawajud Agar Aulad Ke Na Hone Ki Wajah Se Sakht Zehni Uljhan Aur Khatarnak Depression Ka Andesha Ho To Aisi Halat Mai Kuch Ulama E Kiram Ne Ivf Wagaira Ki Kuch Shara'it Ke Saath Ijazat Di Hai, Wo Shara'it Ye Hai.

(1) Sperm Aur Mani Shohar Hi Ki Ho, Kisi Dusre Ki Na Ho.

(2) Us Sperm Aur Mani Ko Apni Biwi Ke Ando Ke Saath Jod Kar Apni Biwi Hi Ke Rahim Mai Dalla Jaye, Kisi Ajnabi Aurat Ke Rahim Mai Nahi.

▪️ Aur Neeche Di Hui Baato Ka Khyal Bhi Rakhe :
(1) Shohar Ka Sperm Aur Mani Biwi Ke Haath Se Nikala Jaye, Biwi Ke Haath Se Shohar Ka Sperm Aur Mani Nikalne Ki Ijazat Hai.

(2) Jitna Mumkin Ho Sake Lady Doctor Se Hi Ilaj Karwaye.

(3) Agar Lady Doctor Ka Intezam Ho Hi Nahi Aur Kisi Mard Doctor Se Ilaj Karwana Pade To Satar Chupane Ka Aur Zyada Ihtimam Ho Ke Jitne Ki Zarurat Ho, Utna Hi Satar Khule, Baaqi Ka Satar Dhaank Diya Jaye.

(jadeed Fiq'hi Masa'il: 5/98, Fatawa Darululoom Zakariya: 4/338, Fatawa Usmani: 4/284, Fatawa Darul Ifta Jamai'yatur Rasheed: 81264)    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Aurat Aur Mard Ke Liye Haath - Pair Ke Baal Saaf Karna
Sawal : Aurat Aur Mard Ke Liye Haath - Pair Ke Balo Ko Nikalna Kesa Hai ?

view more..


Bachcho Ko Gudiya Dilana
Sawal : Bachcho Ke Khelne Ke Liye Gudiya Dilana Ya Ghar Me Rakhna Kaisa Hai ?

view more..


Cigarette/tambaku Ka Karobar
Sawal : Mufti Sahab! Cigarette Aur Tambaku Ka Karobar Kar Sakte Hain ?

view more..


Birthday Manana
Sawal : Baccha Peda Hone Ke Baad Jab Aek Saal Ka Hota Hai, Us Vakt Jo Salgirah ( Birthday ) Manate Hai, Vo Jaiz Hai ? Ya Na-jaiz ?

view more..


Shadi Ke Card Par 786 Likhna
Sawal : 786 Likh Kar Bismillah Murad Lena Kesa Hai, Aksar Shadi Ke Card Par Likhte Hai, Ye Sahih Hai ? Ya Galat ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 7
  • 0
  • 6
  • 2
  • 6
times