Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 July 2025
Monday
24 Muharram 1447
Sawal No : 186
Bab : NIKAH
Fasl : OTHERS ( NIKAH )
Topic : Kisi Ke Bacche Ko God Lena
Sawal : Olad Na Hoti Ho To Kisi Ka Baccha God Le Sakte Hai ?
Jawab : Ji ! Kisi Bacche Ko God Lena Jaiz Hai, Lekin Is Mein Kuch Bato Ka Lihaz Rakhna Zaroori Hai :
( 1 ) Le Palaak Bacho Ki Nisbat Un Ke Haqeeqi Walidain Hi Ki Taraf Ki Jaye, Jin Ki Pusht Se Wo Peda Huve Hai, Is Liye Ke Kisi Ko Mun Bola Beta Bananane Se Shareeat Ke Aetebar Se Wo Haqeeqi Beta Nahi Ban Jata, Aur Na Hi Is Par Haqeeqi Aulaad Wale Ahkaam Jari Hote Hai, Albatta God Lene Wale Ko Parwarish, Taleem O Tarbiyat Aur Aadab O Akhlaq Sikhane Ka Sawab Milega.
( 2 ) Is Mein Is Baat Ka Khayaal Rakhna Bhi Bohot Zaroori Hai, Ke Agar God Lene Wala Ya Wali Is Bachhe Ke Liye Na Mahram Ho, To Balig Hone Ke Baad Parde Ka Ehtimaam Kiya Jaye, Mahaz God Lene Se Mahramiyat Qaim Nahi Hoti, Albatta Agar God Lene Wali Aurat Is Bacche Ko Razaat Ki Muddat ( Do Saal ) Me Doodh Pila De, To Wo Is Bachay Ki Razaai Maa Ban Jayegi, Aur Is Ka Shohar Razaai Baap Ban Jayega.
( 3 ) Wirasat Ke Mamle Me Bhi God Lene Wale Ko Baap Ka Darja Nahi Diya Jayega.
fatwa Number : 144008200707
makhuz Az -: Online Fatawa Jamia Uloom Islamia Allama Mohammad Yousuf Binnori Town
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 07-05-2024
download in PDF
related question
Ladki Ka Apne Abba Ke Chacha Aur Shohar Ke Chacha Se Pardah Karna
Sawal : Ladki Ke Liye Abba Ke Sage Chacha Mehram Hai ? Isi Tarah Shohar Ke Sage Chacha Mehram Hai ?
view more..
Rishta Hone Ke Bad Ladka Ladki Ka Hukm
Sawal : Agr Kisi Ka Rishta Apne Ghar Me Hi Huwa Ho, Or Kuch Kuch Din Me Gharwalo Ka Aam Tor Par Milna Hota Rehta Ho, To Kya Is Surat Me Ladka Or Ladki Ek Dusre Se Bagair Parde Ke Aapas Me Mil Sakte Hai, Gharwalo Ke Saamne Aam Family Meeting Par ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
2
3
0
2
times