Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
20 July 2025
Sunday
23 Muharram 1447
Sawal No : 167
Bab : NAMAZ
Fasl : TARAWEEH
Topic : Taraweeh Padhane Walo Ko Hadiya Dena.
Sawal : Ramazan Me Aksar Masjid Me Taraweeh Padhane Walo Ko Hadiya Dene Ka Mamool Hota He , Bhot Si Masjid Ki Committee Uske Liye Chande Ka Bhi Nizam Karti Kya Ye Sahih Hai?
Jawab : Taraweeh Padhane Pr Ujrat Lena Bilkul Jaiez Nahi He, Al Batta Kisi Tara Ki Condition Lagae Bagair Musalliyan Ya Trustee Hazraat Me Se Koi Apni Khushi Se Padhane Walo Ko Hadiya De To Iski Ijazat Hogi, Aise Imam Ke Peeche Namaz Bhi Sahih Hogi,
▪️itna Khayal Rahe Ke Hafiz Sahab Is Tarah Ki Ummid Na Lagaye Ke Mujhe Padhane Par Fula Ki Taraf Se Hadiya Milega, Isi Tarah Hadiya Na Milne Pr Hafiz Sahab Ko Bura Bhi Nahi Lagna Chahiye.
▪️musalliyan Ya Masjid Committee Apni Zaati Jeb Se Hadiya De,na Ke Masjid Ke Paiso Se Aur Na Hi Mustakil Chande Ka Nizaam Kia Jae.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 05-04-2024
download in PDF
related question
Taraweeh Me Quran E Majeed Dekh Kar Padhna
Sawal : Kya Taraweeh Me Quran E Majeed Dekh Kar Padhna Jaiz Hai ?
view more..
Taraweeh Me Teesri Rakaat Ke Liye Imam Sb. Khade Hojaye...
Sawal : Agar Imam Sb. Taraweeh Me Dusri Rakaat Me Qaida Karna Bhul Gaye Or Teesri Rakaat Ke Liye Khade Hogaye To Kya Hukm He?
view more..
Alag Se Taraweeh Padhne Walo Ke Liye Isha Ki Namaz Masjid Mai Padhna
Sawal : Zyada Se Zyada Huffaz Qur'an E Kareem Taraweeh Mai Suna Sake Isliye Bohot Se Gharo Mai Taraweeh Hoti Hai, To Kiya Isha Ki Farz Namaz Bhi Wahi Padh Sakte Hai?
view more..
Taraweeh Me Na-balig Ko Imam Banana
Sawal : Aek Bacche Ke 22 Pare Ho Gaye Hai, Aur 12 Saal Ki Age Hai, 13 Va Saal Chal Raha Hai, To Kya Ye Ramzan Me Taraweeh Padha Sakta Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
2
0
0
3
times