17 September 2024

Tuesday

11  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 127
Main Bab
Fasl : Sood/interest
Topic : Sud Ki Raqam Majburi Mai Qarz Par Daina, Aur Baad Mai Wasul Hone Par Sadqa Karna
Sawal : Ek College Ki, Bank Mai Fix Deposit Ki Raqam Kayi Saal Se Rakhi Hui Hai, Jis Par Is Waqt Kayi Laakh Rupay Bank Interest Ke Jama Ho Gaye Hain, Bank Ke Qanoon Ke Hisaab Se Jab Tak College Band Nah Ho, Tab Tak Woh Fix Deposit Ki Raqam Nikaal Nahi Satke Hain; Haa! Fix Deposit Ki Raqam Par Jo Interest Ki Raqam Hai, Woh College Walay Nikaal Satke Hain, Us College Ke Sath Un Hi Ka Ek Imdadi Hospital Bhi Chalta Hai, Us Mein Renovation Ka Kaam Chal Raha Hai, Aur Unko Is Kaam Ke Karwanay Mein Qarz Raqam Ki Zaroorat Hai, Ab Sawal Yeh Hai Kai (1) Yeh Raqam College Walay Hospital Ko Bator Qarz Day Sakte Hain? (2) Ya Yeh Interest Ki Raqam Ko Bagair Niyat E Sawab Renovation Ke Kaam Ke Liye Hospital Walo Ko Maalik Banakar Day Sakte Hain?
Jawab : Sood Aur Interest Ki Raqam Ka Hukm Yeh Hai, Ke Asal Maalik Tak Is Ko Wapas Kar Diya Jaye, Aur Agar Mumkin Nah Ho, To Kisi Mustahiq Faqeer O Miskeen Ko Sawab Ki Niyyat Ke Bagair Is Raqam Ka Maalik Bana Diya Jaye .

▪️ College Ke Bank Account Se Milnay Wali Interest Ki Raqam Ko Hospital Ya Khud College Ki Tameeraat Aur Renovation Mai Istemaal Karne Ki Ijazat Nahi Hai, Haan! Is Raqam Se Gareeb Zaroorat Mand Mareezon Ke Liye Sawab Ki Niyyat Ke Bagair Dawa'iyon Ka Nazm Karne Ki Ya Zaroorat Mandoon Ki Deegar Zaroraton Mai Istemaal Karne Ki Gunja'ish Hogi .

▪️ College Ke Bank Account Sai Anay Wali Interest Ki Raqam Ko Sakht Zaroorat Aur Majboori Mein Qarz Ke Taur Par Hospital Ke Kamo Mai Istemaal Kya Ja Sakta Hai; Albatta Is Silsilay Mein Hisaab Bilkul Ehtiyat Aur Ehtimaam Se Mehfooz Rakha Jaye; Taakay Baad Mai Chal Kar Is Ki Ada'igi Mai Sahoolat Rahay Aur Zaroorat Poori Honay Par Bagair Sawab Ki Niyyat Sai Itni Raqam Sadqa Kar Di Jaye .
(fatawa Usmani : 3 / 330)    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Cash Kai Zariye Bank Mai Aai Soodi Raqam Ka Sadqa Karna
Sawal : Maloom Karna Hai Ke Bank Ke Saving Account Mai Jo Raqam Rehti Hai, Us Par Bank Interest Ke Naam Par Raqam Badhati Hai, Us Raqam Ke Badlay –apne Paas Se Itni Hi Raqam, Jitni Bank Ne Interest Ke Naam Par Jama Ki Hai, Us Ko Bagair Sawab Ki Niyyat Sai Ada Karne Se, Bank Mai Jo Raqam Zayed Hai, Woh –apne Istemaal Mai Lana Jaaiz Hoga?

view more..


Ca Ki Degree Hasil Karna Aur Sudi Hisaab Kitaab
Sawal : Ca Ki Degree Jayaz Hai ? Aur Us Ki Job Karna Ke Us Me Sudi Hisab Kitab Bhi Karna Hota Hai ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 5
  • 1
  • 2
times