17 September 2024

Tuesday

11  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 108
Main Bab
Fasl : Sood/interest
Topic : Ca Ki Degree Hasil Karna Aur Sudi Hisaab Kitaab
Sawal : Ca Ki Degree Jayaz Hai ? Aur Us Ki Job Karna Ke Us Me Sudi Hisab Kitab Bhi Karna Hota Hai ?
Jawab : Sirf Ca Ki Degree Lene Me Koi Harj Nahi Hai, Lekin Ca Ki Degree Lene Ka Baad Ca Ko Bank Se Milne Wale Intrest Ka Kaam Bhi Karna Padta Hai, To Ye Intrest Ke Kaam Me Support Karna Hai, Ya Nahi, Is Bare Me Ulma E Kiram Ke Alag Alag Opinion Hai.
▪️ Niche Ap Ke Samne "darul Ifta Wal Qaza - Jamia Binnoriya Aalamiya" Ka Fatwa ( Serial No.10426 ) Naql Kiya Jata Hai.
sawal : Me Charted Account Ki Practice Kar Raha Hu, Mera Asal Kaam Account Ka Audit Karna Hai, Audit Me Auditer Ko Account Ke Sach Aur Haqaaiq Ke Bare Me Apni Ray Ka Izhaar Karna Hota Hai, Apni Ray Ke Izhaar Ke Liye Ham Un Ke Accounts Check Karte Hai, Tasdeeq Ya Checking Ke Doran Aamadan ( Income ) Aur Kharch ( Expense ) Ke Bare Me Hame Koi Galti Nazar Aaye, Khawah Vo Qalam Band Kiye Gaye Ho, Ya Na Kiye Gaye Ho, Ham Unhe Durust Karne Ki Ray Dete Hai, Agar Hamare Paas Bank Ka Audit Aaye, To Kya Ham Bank Ka Audit Kar Sakte Hai ?
jawab : Auditer Ka Taalluq ( Connection ) Chunke Ba-raherast ( Direct ) Soodi Len-den Se Nahi Hota, Balke Pehle Se Anjaam Diye Huve Muaamlaat ( Works ) Ki Chaan-been Se Hota Hai, Is Liye Is Ki Gunjaaish Malum Hoti Hai, Aur Agar Ise Soodi Muaamlaat Ki Muaavanat ( Help ) Hone Ki Bina Par Tark Kar Diya Jaye, To Behtar Hai.
note : Ye Fatwa Image Ki Shakal Me Google Par Available Hai.
▪️ Isi Tarah Ka Aek Aur Sawal - Jawab ( Fatwa No. 143101200283 ) Binnori Town Ki Website Par Mavjood Hai.
▪️ Sawal : Mera Sawal Ye Hai, Ke Kya Charted Account Ki Nokri Us Hadees Ke Zumre Me To Nahi Aati, Jis Me Sood Khane Wale, Khilane Wale, Likhne Wale, Aur Gawah Banne Walo Par Laanat Aayi Hai ?
▪️ Jawab : Charted Account Ki Nokri Chunke Soodi Len-den Ke Alawa Dusre Maaliyati Shobo ( Financial Department ) Me Bhi Ho Sakti Hai, Is Liye Jab Tak Vo Soodi Len-den Ke Muaamalat Se Vabasta ( Connect ) Na Ho, Us Vakt Tak Vo Is Vaeed Ke Zumre Me Nahi Aata.
▪️ Khulasa : Dono Fatwo Ko Samne Rakhte Huve Ye Bat Vazeh Hoti Hai, Ke Agar Koi Ca Ka Kaam Kar Raha Hai, Aur Soodi Muaamalat Me Involve Ho Raha Hai, To Us Ke Liye Bachna Behtar Hai, Fir Bhi Agar Koi Involve Ho Raha Hai, To Chunke Auditer Ka Taalluq ( Connection ) Ba-raherast ( Direct ) Soodi Len-den Se Nahi Hota, Balke Pehle Se Anjaam Diye Huve Muaamlaat ( Works ) Ki Chaan-been Se Hota Hai, Lihaza Us Ki Kamai Ko Haram Nahi Kaha Jayega.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Cash Kai Zariye Bank Mai Aai Soodi Raqam Ka Sadqa Karna
Sawal : Maloom Karna Hai Ke Bank Ke Saving Account Mai Jo Raqam Rehti Hai, Us Par Bank Interest Ke Naam Par Raqam Badhati Hai, Us Raqam Ke Badlay –apne Paas Se Itni Hi Raqam, Jitni Bank Ne Interest Ke Naam Par Jama Ki Hai, Us Ko Bagair Sawab Ki Niyyat Sai Ada Karne Se, Bank Mai Jo Raqam Zayed Hai, Woh –apne Istemaal Mai Lana Jaaiz Hoga?

view more..


Sud Ki Raqam Majburi Mai Qarz Par Daina, Aur Baad Mai Wasul Hone Par Sadqa Karna
Sawal : Ek College Ki, Bank Mai Fix Deposit Ki Raqam Kayi Saal Se Rakhi Hui Hai, Jis Par Is Waqt Kayi Laakh Rupay Bank Interest Ke Jama Ho Gaye Hain, Bank Ke Qanoon Ke Hisaab Se Jab Tak College Band Nah Ho, Tab Tak Woh Fix Deposit Ki Raqam Nikaal Nahi Satke Hain; Haa! Fix Deposit Ki Raqam Par Jo Interest Ki Raqam Hai, Woh College Walay Nikaal Satke Hain, Us College Ke Sath Un Hi Ka Ek Imdadi Hospital Bhi Chalta Hai, Us Mein Renovation Ka Kaam Chal Raha Hai, Aur Unko Is Kaam Ke Karwanay Mein Qarz Raqam Ki Zaroorat Hai, Ab Sawal Yeh Hai Kai (1) Yeh Raqam College Walay Hospital Ko Bator Qarz Day Sakte Hain? (2) Ya Yeh Interest Ki Raqam Ko Bagair Niyat E Sawab Renovation Ke Kaam Ke Liye Hospital Walo Ko Maalik Banakar Day Sakte Hain?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 5
  • 1
  • 1
times