Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 July 2025
Monday
24 Muharram 1447
Sawal No : 83
Bab : PAKI / NAPAKI
Fasl : GUSAL
Topic : Sharamgaah (vagina) Mai Douching (injection Se Dawai Daalne) Se Gusal Ka Hukm
Sawal : Aurto Me Agar Koi Private Part Par Bimari Ya Taklif K Liye Vagina Me Douching Kiya Jaye, Matlab Dawai Wala Pani Injection Me Bharkar Us Se Vagina Saaf Ki Jaye, Ya Fir Vagina Me Rakhne Ki Tablet Di Jaye, To Uske Baad Gusal Karna Zaroori He, Ya Nahi, Doctor Ne Douching Continue 3 Months Tak Roz Karne Ko Bataya He. ( Aur Tablet Raat Ko Rakhne Par Wo Subah Melt Hokar Thodi Thodi Bahar Nikalti Rehti He )
Jawab : Jism Se Koi Na-paak Cheez Nikle, Tab Wuzu Ya Gusal Toot-ta Hai, Jab Ke Jism Ke Kisi Hisse Mai Dawai Daalne Se Jism Mai Dawai Dakhil Ho Rahi Hai, Nikal Nahi Rahi Hai.
▪️lihaza Sharamgah (vagina) Mai Douching Karne Ya Dawai Daalne Ya Tablet Rakhne Se Gusl Nahi Tutega.
▪️ Haa! Agar Ungli Ke Zariye Dawai Dakhil Ki Jaye Aur Shahwat Paida Ho Jaye, To Baaz Ulama E Kiram Ke Nazdeek Gusl Karna Lazim Ho Jata Hai, Aur Ehtiyat Bhi Isi Mai Hai.
▪️ Aur Dawai/tablet Melt Ho Kar Bahar Nikle, To Us Se Gusal To Nahi Tut-ta, Lekin Wuzu Toot Jata Hai.
(fatawa Binnoriya Online: 144008200200/ Online Darul Ifta Deoband:611512)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 19-12-2023
download in PDF
related question
Qible Ki Taraf Beth Kar Gusal Karna
Sawal : Agar Sahulat Na Ho, To Qible Ki Taraf Beth Kar Gusal Karna Kesa Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
2
2
3
7
times