18 October 2024

Friday

13  Rabi-Ul-Aakhar  1446

Sawal No : 73
Bab : QURAN / HADEESH / DUSRE ULOOM
Fasl : OTHERS ( QURAN / HADEESH...)
Topic : Abdaal Ke Bare Me
Sawal : Abdaal Kise Kehte Hai ? Aur Unke Bare Me Baat Karna Kesa Hai ?
Jawab : Jawab : "abdaal" Allah Ke Baaz Naik Bando, Awlia Me Se Chuni Huvi Jamaat Ka Naam Hai.

▪️ Ahadees Mein "abdaal" Ke Muta'lliq Tazkira Milta Hai, Ke Kaayenaat Mein "abdaal" Ka Wujood Paya Jata Hai, Aur Koi Waqt Aisa Nahi Guzarta, Jab Kaayenaat Un Ke Wujood Se Khaali Ho, Un Hazraat Ka Wujood Kaayenaat Ke Liye Rahmat Hai.

▪️ Baaz Riwayaat Se Maloom Hota Hai, Ke Duniya Ke Kisi Ilaqay Mein Bhi Paye Jatay Hai, Jab Ke Dusri Baaz Riwayaat Se Un Ka Mulk E Shaam Mein Paaya Jana Maloom Hota Hai.

▪️ Chunanche "musnad E Ahmed" Ki Riwayat Mein Hai, Ke Hazrat Ali R.d. Ne Farmaya " Mein Ne Janab E Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmate Huve Suna Hai, Ke Mulk E Shaam Mein Chalees (40) "abdaal" Hote Hai, Jab Un Mein Se Kisi Ek Ki Wafaat Ho Jati Hai, Tab Un Ki Jagah Dusre Ko Qa'im Maqam Kar Diya Jata Hai, Aur Inhi Ki Barket Aur Duaon Se Allah Ta'ala Barish Barsata Hai, Aur Kuffar Aur Dushmano Ke Khilaaf Shaam Walo Ki Madad Karta Hai, Aur Inhi Ki Barket Se Ahle Shaam Ke Upar Se Azaab Ko Door Farmata Hai. "

▪️ Ek Aur Riwayat Mein Hazrat Anas R.d. Se Manqool Hai, Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya " Zameen Kisi Waqt Bhi Chalees Abdaal Se Khaali Nahi Hoti, Jab Un Mein Se Kisi Ek Ka Inteqal Ho Jata Hai, To Allah Un Ki Jagah Dusre Ko Muqarrar Kar Dete Hain."

▪️ Aur Jis Tarah Ki Hadees Se "abdaal" Ka Wujood Saabit Hota Hai, Chahe Is Me Aksar Turuq Za'eef Hain, Magar Baaz Sahih Bhi Hain.
upar Zikr Ki Gayi Tafseel Se Maloom Ho Gaya, Ke "abdaal" Ka Wujood Hai.

▪️ Bas ! Itna Ilm Hamare Liye Kafi Hai, Is Se Zyada Ki Baate Karna, Bahas Me Padna, Ke Wo Kaha Honge ? Kya Kar Rahe Honge ? Kon Honge ? Waqt Ko Zaye Karna Hai, Apne Qeemti Waqt Ko Aisi Be-fayda Cheezo Me Zaye Nahi Karna Chahiye.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
View all sawal
Total visited
  • 6
  • 5
  • 4
  • 3
  • 3
times