19 September 2024

Thursday

13  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 60
Bab : NIKAH
Fasl : MAHAR
Topic : Mahar E Fatmi Ki Demand Karna Kesa Hai ?
Sawal : ( 1 ) Aek Baap Ne Apni Beti Ke Haq Mahar Ke Taur Par Mahar E Fatmi Ki Demand Ki, Jo Ke Ladke Walo Ki Maali Hesiyat Se Zyada Thi, So Ladke Wale Ye Demand Puri Na Kar Sake, To Baap Ne Is Bina Par Apni Beti Ka Rishta Khatm Kar Diya,to Kya Ye Sahi Hai ?

( 2 ) Kya Haq Mahar Me Ladke Ki Maali Hesiyat Se Zyada Demand Karna Jaiz Hai ?
Jawab : ( 1 ) Mahar Ladki Ka Haq Hai, Ladka Aur Ladki Aapas Ki Raza Mandi Se Jo Tai Kare, Wo Tai Ho Jayega.

▪️ Albatta Is Baat Ka Khyal Rakhe, Ke Das Dirham ( 30.618 Gram Silver ) Ki Qeemat Se Kam Na Ho, Is Se Kam Mahar Rakhna Ja'iz Nahi Hai.

▪️ Aam Taur Se Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apni Azwaj E Mutahharat Ka Mahar 500 Dirham (1531 Gram Silver) Rakha Hai, Isi Tarah Apni Beti Hazrat Fatima R.d Ka Bhi Itna Hi Mahar Rakha Tha, Isi Liye 500 Dirham ( 1531 Gram Silver ) Mahar-e-fatmi Kehlata Hai.

▪️ Agar Kisi Ko Allah Ne Gunja'ish Di Ho, To Mahar Me Mahar-e-fatmi Rakhna Behtar Hai, Aur Agar Koi Is Se Zyada Ya Kam ( Lekin 10 Dirham 30.618 Gram Silver Se Kam Nahi ) Rakhna Chahe, To Is Ki Bhi Ijazat Hai, Aam Taur Se Nikah Aur Shadi Ke Naam Par Aaj Kal Bohot Fuzul Kharch Kiya Jata Hai, Us Ke Bajaye Mahar Ki Taraf Tawajjuh Deni Chahiye, Is Se Aap Ke Ghar Me Aane Wali Ladki Ki Value Tai Hoti Hai.

▪️ Khulasa Ye Ke Agar Gunja'ish Ho, To Mahar-e-fatmi Rakhna Chahiye, Ya Us Se Zyada Bhi Rakh Sakte Hain, Bas! Is Me Is Baat Ka Khyal Rakhe, Ke Dikhlawa Maqsud Na Ho, Aur Apni Hesiyat Se Zyada Na Ho, Ke Qarz Wagaira Lena Pade, Aur Kam Rakhne Ki Bhi Gunja'ish Hai, Lekin Jaan Kar Kam Rakhna, Jab Ke Gunja'ish Bhi Ho, Ya Ye Soch Kar Apni Hesiyat Se Kam Rakhna, Ke Hamare Baap Dada Ne Bhi Yahi Rakha Tha, Aisa Karna Munasib Nahi Hai. Upar Zikr Ki Gai Tafseel Se Andaza Ho Gaya Hoga, Ke Apni Hesiyat Ke Baqadar Aapas Ki Raza Mandi Se Mahar Tai Karna Chahiye.

( 2 ) Aur Agar Saamne Wale Zyada Ki Demand Karte Hai, Aur Us Se Kam Par Raazi Nahi Hai, To Un Ko Ye Karne Ka Haq Hai.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 8
  • 7
  • 3
times