03 December 2024

Tuesday

0  Jamadi-Ul-Aakhar  1446

Sawal No : 57
Bab : Sood/interest
Fasl : Sood / Interest Ke Bare Me
Topic : Bank Se Home Loan Lena Kesa Hai ?
Sawal : Makan Ki Shakt Zarurat Ho, To Kya Bank Loan ( With Intrest ) Se Makan Le Sakte Hai ?
Jawab : Sab Se Pehle Ye Janna Zaruri Hai, Ke Sood Lena Aur Sood Dena Dono Quran O Hadees Ki Taleem Ke Mutabik Haraam Hain, Hadees E Mubarak Me Soodi Len-den Karne Walo Par Laanat Ki Gayi Hai, Aur Bank Se Milne Wala Karz Sood Wala Hota Hai, Aur Bank Se Karz Lena Soodi Maamla Hai, Aur Soodi Karz Lena Jaiz Nahi Hai.

▪️ Baqi Zaroorat Ke Liye Kisi Rishte Daar Ya Jaan Pehchan Vale Se Karz Liya Ja Sakta Hai, Aur Agar Koi Setting Na Ho, To Allah Taala Par Bharosa Karte Huve Filhal Sabr Karna Chahiye, Aur Kiraye Ke Ghar Me Reh Kar Zindagi Guzarni Chahiye, Momin Ka Asal Ghar Jannat Hai, Vakti Ghar Ko Hasil Karne Ke Liye Hamesha Baki Rehne Vale Ghar ( Jannat ) Ka Soda Nahi Karna Chahiye, Zindagi Ka Koi Bharosa Nahi Hai, Pata Nahi, Kab Zindagi Ki Sham Ho Jaye.

▪️ Hazaro Sache Qisse Hai, Ki Jo Log Bank Se Loan Lene Ke Bare Me Soch Rahe The, Allah Se Dar Kar Loan Nahi Li, Allah Taala Ne Bad Me Un Ko Aesi Barkat Di, Ke Un Par Aur Un Ki Aane Vali Naslo Par Log Rashk Karte Hai, Aur Jin Logo Ne Bank Se Loan Le Kar Ghar Kharida, Vo Ye Kehte Sune Gaye, Ke Road / Foot Path Par Reh Lena Accha Tha, Kash Ham Loan Na Lete.

▪️ Khulasa Ye Hai, Ke Sood Ke Chakkar Me Padne Se Zindagi Ki Barkate Khatm Ho Jati Hai, Zahir Hai, Sood Me Mubtala Hone Vale Ke Sath Allah Taala Ka Jang Ka Aelaan Hai, Ab Allah Taala Se Kon Muqabla Kar Sakta Hai.

▪️ Ha ! Albatta Kuch Muftiyaan E Kiram Ki Janib Se Bhut Zyada Majboori Ki Surat Me Soodi Karz Lene Ki Ijazat Di Gai Hai, Mamooli Majboori Me Ye Gunjaish Nahi Hai, Is Liye Bhut Zyada Majboori Ke Bagair Bank Se Karz Lena Jaiz Nahi Hoga, Is Liye Agar Ap Ki Bhut Zyada Majboori Ki Surat Ho, To Us Ko Wazeh Kar Ke Fir Masle Ka Hukm Malum Ki Jiye.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Soodi Qarz Me Dube Huve Shakhs Ko Zakat Ya Interest Ki Raqam Dena
Sawal : Mera Ek Dost Soodi Loan Ke Karz Me Dub Gaya Haii, Vo Us Ko Adaa Karne Ke Qabil Na Raha, To Kya Us Ka Qarz Koi Aur Zakat De Kar Ada Kar Sakta Hai, Ya Zakat Ke Zariye Mumkin Na Ho, To Soodi Qarz Ki Adaaygi Ki Koi Aur Shakl Hai ?

view more..


Bank Se Milne Wale Interest ( Sood ) Ka Hukm
Sawal : Bank Ke Saving Account Me Jo Sood ( Interest ) Jama Hota Hai, Uska Sharai Hukm Kya Hai ?

view more..


Pmegp ( Prime Minister Employment Generation Programme / Pradhaan Mantri Rozgaar Srjan Karyakaram) Wali Loan Lene Ka Hukm ?
Sawal : Hazrat Mufti Sahab! Kisi Ko Apna Business Start Karna Ho, To Kya Woh Pmegp Yojna Ka Sahara Le Sakta He ?
me Apne Liye Hi Puch Raha Hun, Mai Ne Kuch Mahino Pehle Abba Se Paise Lekar Kaarkhana Start Kiya, Ab Usme Loss Ho Gaya, Magar Alhamdulillah ! Ek Machine Tayyar Ho Gaya, Ab Abba Ke Paas Itna Nahi He, Ke Woh Wapis Mujhe De, Aur Mere Andar Sharm He, Ke Kisi Se Mange Nahi Jate, To Is Condition Mai Us Scheme Ka Istemal Karna Kaisa Hai ?

view more..


Intrest Ki Raqam Se Vera Bill Bharna
Sawal : Vera Bill Intrest ( Sood ) Ke Paise Se Bhar Sakte Hai ?

view more..


Bank Me Mulazamat ( Job ) Karna
Sawal : Bahot Se Muslim Jawan Padhe Likhe Bank Me Mulazamat ( Job ) Karte He, Wo Kaha Tak Jaiz He?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 7
  • 2
  • 5
  • 7
  • 8
times