19 September 2024

Thursday

13  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 50
Bab : Sood/interest
Fasl : Sood / Interest Ke Bare Me
Topic : Income Tax Se Bachne Ke Liye Loan Lena
Sawal : ( 1 ) Kya Income Tax Se Bachne Ke Liye Fd Kara Sakte Hai ?
( 2 ) Kya Income Tax Se Bachne Ke Liye Home Loan Le Sakte Hai ?
Jawab : Sab Se Pehle Ye Janna Zaruri Hai, Ke Bank Se Loan Lena, Ya Bank Me Fd Karana, Ye Dono Kaam Me Insan Sood ( Intrest ) Me Involve Ho Jata Hai, Aur Sood ( Intrest ) Ka Lena Aur Dena Dono Qura'an V Hadees Ke According Haram Hai.

▪️ Ab Aap Ka Sawal Hai, Ke Income Tax Se Bachne Ke Liye Kya Fd Kara Sakte Hai, Ya Home Loan Le Sakte Hai ?

▪️ Is Ke Jawab Me Muftiyan E Kiram Ki Dono Tarah Ki Ray Hai, Aksar Muftiyan E Kiram Income Tax Se Bachne Ke Liye Intrest Vali Loan Lene Se Mana Karte Hai, Kuch Muftiyan E Kiram Jaiz Kehte He.

▪️ Jese Mufti Ahmad Sahab Khanpuri ( Damat Barakatuhu ) Apni Kitab ( Mahmudul Fatawa 6/50 ) Me Isi Tarah Ke Aek Sawal Ke Jawab Me Likhte Hai, Ke Loan Aek Tarah Ka Soodi Karz Hai, Aur Sood Ka Lena Aur Dena Dono Qura'an V Hadees Ki Nusus E Katiyyah Ke According Najaiz Aur Haram Hai, Is Liye Is Ki Permission Nahi Hai,

▪️ Aur Bhi Bhut Se Muftiyan E Kiram Ki Ray Yahi Hai.

▪️ Kuch Muftiyan E Kiram Jo Jaiz Kehte Hai, Un Ki Ray Niche Zikr Ki Ja Rahi Hai.

▪️ Darul Uloom Deoband Ki Website Par Isi Tarah Ke Aek Sawal Ke Jawab Me Likha Gaya Hai, Us Ka Khulasa Ye He, Ke Intrest Vali Loan Lena Shariyat Ke According Najaiz Aur Haraam Hai, Quran Kareem Aur Ahadees Nabviyyah Mein Is Par Sakht Vaeed Aayi Hain, Haan ! Shadeed Zaroorat Ho, To Zaroorat Ke Bakadr Gunjaish Hai, Income Tax Pay Karna Sharai Aitbaar Se Aik Narawa ( Najaiz ) Tax Hai, Is Liye Agar Kisi Ki Raqam Income Tax Mein Kat Jati Ho, Ya Yeh Khatra Ho, Ke Agar Apna Paisa Zahir Karenge, To Income Tax Ke Department Ki Pakad Me Aa Jayenge, Albata Loan Lene Ki Surat Me Is Khatre Se Bachna Mumkin He, To Phir Is Majboori Me Loan Lene Ki Gunjaish Hai, Lehaza Puche Huve Sawal Mein Aap Gor Kare, Jis Pareshani Ka Aap Ne Sawal Mein Izhaar Kiya Hai, Agar Is Se Bachney Ki Koi Aur Jaiz Shakl Na Ho, To Majbooran Aap Ke Liye Zaroorat Ke Bakadr Loan Lene Ki Gunjaish Hogi. ( Fatwa:375-300/sn=5/1441 ) ( Jawab Number : 175355 )

▪️ Isi Tarah Maulana Khalid Saifullah Rahmani ( Damat Barakatuhu ) Apni Kitab ( Kitabul Fatawa : 5/314 ) Me Isi Tarah Ke Aek Sawal Ke Jawab Me Likhte Hai, Ke Is Mein Shubah Nahi, Ke Aam Halat Me Soodi Karz Lena Jaiz Nahi Hai, Aur Jis Tarah Sood Lena Haram Hai, Isi Tarah Sood Dena Bhi Haram Hai, Lekin Fukahaa E Kiram Ne Zaroorat Aur Majburi Ke Vakt Soodi Karz Lene Ki Permission Di Hai, Puchi Huvi Surat Me Bhi Chunke Soodi Karz Lena Aek Qanuni Majboori Aur Zarurat Ka Darja Ikhtiyar Kar Gaya Hai, Is Liye Is Kadr Karz Lena Jaiz Hoga, Jis Ke Zariye Businessman Apne Ap Ko Qanuni Pakad Se Bacha Sake.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Bank Se Milne Wale Interest ( Sood ) Ka Hukm
Sawal : Bank Ke Saving Account Me Jo Sood ( Interest ) Jama Hota Hai, Uska Sharai Hukm Kya Hai ?

view more..


Pmegp ( Prime Minister Employment Generation Programme / Pradhaan Mantri Rozgaar Srjan Karyakaram) Wali Loan Lene Ka Hukm ?
Sawal : Hazrat Mufti Sahab! Kisi Ko Apna Business Start Karna Ho, To Kya Woh Pmegp Yojna Ka Sahara Le Sakta He ?
me Apne Liye Hi Puch Raha Hun, Mai Ne Kuch Mahino Pehle Abba Se Paise Lekar Kaarkhana Start Kiya, Ab Usme Loss Ho Gaya, Magar Alhamdulillah ! Ek Machine Tayyar Ho Gaya, Ab Abba Ke Paas Itna Nahi He, Ke Woh Wapis Mujhe De, Aur Mere Andar Sharm He, Ke Kisi Se Mange Nahi Jate, To Is Condition Mai Us Scheme Ka Istemal Karna Kaisa Hai ?

view more..


Intrest Ki Raqam Se Vera Bill Bharna
Sawal : Vera Bill Intrest ( Sood ) Ke Paise Se Bhar Sakte Hai ?

view more..


Bank Me Mulazamat ( Job ) Karna
Sawal : Bahot Se Muslim Jawan Padhe Likhe Bank Me Mulazamat ( Job ) Karte He, Wo Kaha Tak Jaiz He?

view more..


Bank Se Home Loan Lena Kesa Hai ?
Sawal : Makan Ki Shakt Zarurat Ho, To Kya Bank Loan ( With Intrest ) Se Makan Le Sakte Hai ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 9
  • 2
  • 4
times