18 October 2024

Friday

13  Rabi-Ul-Aakhar  1446

Sawal No : 46
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : AZKAR / DUAAE
Topic : Durood E Nariya
Sawal : Aaj Kal Sab Durood E Nariya Padh Rahe He, Kya Ye Sahi He ? Agar Sahi He, To Thik, Agar Nahi, To Aap Mujhe Iska Answer Do, To Me Apne Group Ko Sahi Se Samjha Saku.
Jawab : "durood E Naariya'' Ke Alfaaz Rasul E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Kisi Hadees Se Saabit Nahi Hai, Albata Durood Ke Jin Sego (alfaaz) Mein Shirkiya Ya Fasid M'ane Wale Lafz Na Ho, To Aisay Alfaaz Se Durood Padhne Se Nafs E Durood Ke Faza'ail Haasil Ho Jatay Hai, Lihaza Durood E Naariya Ke Sege (alfaaz) Se Bhi Duroood Shareef Ki Fazeelat Haasil Ho Jayegi.

▪️ Neez Durood E Naariya Aqabireen Ka Mustanad Aur Mujrrab (aazmaya Huwa) Wazifa Raha Hai, Aur Tamam Jaaiz Hajat Ko Hasil Karne Aur Masaaib Aur Pareshaniyo Se Najaat Ke Liye Is Ka Vird Mujarrabb Hai, Char Hazar Charso Chawalees (4,444) Martaba Is Ka Vird Matlooba Maqsad Ke Hasil Karne Mein Ziyada Mufeed Hai, Use Padhne Ke Liye Makhsoos Ijazat Ki Zaroorat Nahi Hai. Is Ke Alfaaz Ye Hai,

اَللّٰهُمَّ صَلِّ صَلَاةً كَامِلَةً وَّ سَلِّمْ سَلَامًا تَامًّا عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ صَلَاةً تَنْحَلُّ بِهَا الْعُقَدُ وَ تَنْفَرِجُ بِهَا الْكُرَبُ وَ تُقْضٰى بِهَا الْحَوَائِجُ وَ تُنَالُ بِهَا الرَّغَائِبُ وَ حُسْنُ الْخَوَاتِيْمِ وَ يُسْتَسْقَى الْغَمَامُ بِوَجْهِهِ الْكَرِيْمِ وَ عَلٰى آلِهِ وَ صَحْبِهِ فِيْ كُلِّ لَمْحَةٍ وَّ نَفَسٍ بِعَدَدِ كُلِّ مَعْلُوْمٍ لَّكَ

▪️ Lihaza Hadees Se Sabit Hai, Aisa Samjhe Bagair, Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Taraf Nisbat Kiye Bagair Ise Padhne Me Koi Haraj Nahi Hai, Durood Padhne Ki Fazilat Mil Jayegi.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
View all sawal
Total visited
  • 6
  • 5
  • 4
  • 4
  • 9
times