24 November 2026

Tuesday

12  Jamadi-Ul-Aakhar  1448

Sawal No : 450
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : OTHERS ( JAIZ / NAJAIZ CHEEZE )
Topic : Bachche Ko God Lekar Apna Naam Dena Aur Mahram Hone Ka Sharai Hukum
Sawal : Agar Kisi Shakhs Ke Bachche Na Hon Aur Usne Apne Bhai Ya Behen Ke Bachche Ko God Liya Ho Aur Bachche Ke Haqeeqi Baap Ka Naam Hatakar Documents Mein Apna Naam Likhwa Diya Ho, Jabki Woh Bachche Se Bahut Mohabbat Karta Ho Aur Uski Parwarish Mein Koi Kami Na Rakhta Ho, To Kya Aisa Karna Jaiz Hai? Kya God Lene Se Bachcha Mahram Ho Jata Hai? Agar Naam Badalna Ab Mushkil Ho Aur Bachche Ke Bagair Rehna Bhi Mumkin Na Ho, To Ab Use Shariat Ke Mutabiq Kya Karna Chahiye?
Jawab : Baache Ko God Lekr Uske Sath Jo Accha Bartav Kiya Jayega Uska Ajar O Sawab Aapko Milega.
▪️ Lekin Ye Jo Registration Hai Vo Aapko Uske Haqiqi Baap Ke Naam Se Hi Karwana Chaiye Tha Ab Jaha Tak Mumkin Ho Usko Badalne Ki Koshish Kro Or Tauba Or Istigfaar Krte Raho
▪️ Or Ye Baccha Agar God Lene Wala Ya God Lene Wali K Liye Na Mahram Hai To God Lene Se Mahram Nahi Hoga, Baalig Hone K Baad Uss Se Parda Zaroori Hai.
▪️ Haa Albatta Agar Vo Ladka Hai To Bacche Ko Doodh Pine Ki Muddat Mai ( 2 Saal Ki Umar Mai ) Vo Aurat Ya Uski Behen Doodh Pila De To Phir Vo Razaai Maa Ya Razai Khala Ban Jayegi Or Jis Bacche Ko God Liya Hai Vo Ladki Hai To God Lene Wale Ki Behen Ya Maa Muddat E Razaat ( 2 Saal Ki Umar Mai) Us Bacchi Ko Doodh Pila De.
▪️ Or Haa God Lene Wale Bacche Or Unke Munh Bole Maa Baap K Bich Warasat Bhi Na Hogi.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Kya Dukaan Mein Dhoop Aana Nahusat Hai?
Sawal : Dukaan Ke Andar Sooraj Ki Roshni Ka Aana Kaisa Hai? Beshak Ye Sooraj Ke Movement Ki Wajah Se Hota Hai, Lekin Agar Hum Shed Lagwakar Dhoop Ko Roke To Koi Harj Ki Baat To Nahi?

view more..


Cricket Ya Aur Koi Sports Khelna Aur Sports Tournaments Khelkar Paise Kamana
Sawal : Kya Offline Sports Tournaments Khelkar Paise Kamana Halal Hoga? Cricket Jaise Sports Ke Case Mein, Agar Sirf Shauk Aur Enjoyment Ke Liye Khela Jaaye, Aur Us Mein Prize / Trophy Mile To Kya Prize / Trophy Lena Theek Hoga? Aur Sirf Shauk Aur Enjoyment Ke Liye Cricket Khelna Ya Aur Koi Sports Khelna Kaisa Hai?

view more..


Bar Bar Zina Karne Ke Baad Tauba Karne Ka Hukm
Sawal : India Me Agar Kisi Musalman Unmarried Mard Ne Zina Kiya Ho, Or 1 Baar Nahi Bar Bar Kiya Ho, Or Aage Ja Kar Use Apne Is Kaam Par Nadamat Or Pachtava Ho Or Us Ne Ye Kaam Chod Bhi Diya Ho, Par Pehale Usne Jo Gunah Kiya He Us Ka Kaffara Kiya Hoga?

view more..


Ash'hal Naam Rakhna
Sawal : Ash'hal Naam Ka Kya Matlab Hai Aur Kya Ye Naam Rakh Sakte Hai ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 2
  • 6
  • 8
  • 6
  • 6
  • 1
times