Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
20 July 2025
Sunday
23 Muharram 1447
Sawal No : 45
Bab : KIRAYA DARI / SALARY ISSUES ( کتاب الاجارہ )
Fasl : GUNAH KE KAM KE BADLE SALARY
Topic : Novel Likh Kar Salary Lena.
Sawal : Novel Writing Ke Work Ke Baare Me Puchna Tha, Book Publisher Online Logo Ko Likhi Hui Novel Phir Se Likhne Ke Liye Dete Hai, Phir Kaam Pura Ho Jane Par Uske Paise Dete Hai, To Kya Is Tarah Ki Incot Jaiz Hai ?
Jawab : Sabse Pehle Yeh Baat Jaan Le, Ke Novel Ki Wo Kitabe Jo Sirf Shahwat Ko Ubharne, Bad Akhlaqi, Jhut Aur Uske Alawah Doosre Na Jaiz Kaamo Ko Promote Karne Ke Liye Likhi Gayi Ho, To Un Kitabo Ko Likh Kar Pese Kamana Shariat Ke E'atabar Se Jaiz Nahi Hai.
▪️ Is Liye Ke Ye Ek Contract (ijarah Dari) Ka Mamla He, Aur Contract (ijarah Dari) Ke Sahih Hone Ke Liye Shart Ye He, Ke Jis Kaam Par Contract Ho Raha Ho, Woh Shariat Ke E'atabar Se Jaiz Ho, Haram Ya Makrooh Na Ho, Ha, Albatta Novel Ki Woh Kitabe Jo Bunyadi Tor Par Padhne Wale Ke Adabi Zouq Ko Zindah Rakhne, Aur Unki Adabi Salahiyato Ko Zahir Karne Ke Liye Likhi Gayi Ho, To Kitabo Ko Likh Kar Pese Lena Jaiz He. ( Mulakhkhas Online Fatawa Jamiya Allama Yusuf Binori Town. Fatwa No.144405100198 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 26-10-2023
download in PDF
related question
View all sawal
Total visited
1
4
1
9
8
1
times