19 September 2024

Thursday

13  Rabi-Ul-Awwal  1446

Sawal No : 43
Bab : AQEEDA / IMAN / SHIRK
Fasl : AHLE SUNNAT WAL JAMAT KE AQAEID
Topic : Ashaerah, Maturidiyah, Salafiyyah Ki Tafseel
Sawal : Aaj Kal Social Media Par Ashaerah, Maturidiyah, Salafiyyah Ke Bare Me Discuss Bhut Ho Rahi Hai, Me Is Ki Tafseel Janna Chahta Hu.
Jawab : Aqeedo Ke Bare Me Ahle Sunnat Wal Jama'at Ki 3 Jama'at Hai.
( 1 ) Ashaerah
( 2 ) Maturidiyah
( 3 ) Salafiyyah ( Hanabilah )
▪️ Ashaerah Wo Hai, Jo Shaikh Abul Hasan Ashari ( Rahmatullahi Alyhi ) Ko Follow Karte Hai, Imam Abul Hasan ( Rahmatullahi Alyhi ) Shafai The, Is Liye Ye Maktab E Fikr Shawafe Me Maqbul Huva, Yani Shawafe Hazraat Aamtor Par Aqaa'id Me Ashari Hote Hai.
▪️ Maturidiyah Wo Hai, Jo Shaikh Abu Mansur Maturidi ( Rahmatullahi Alyhi ) Ko Follow Karte Hai, Imam Maturidi ( Rahmatullahi Alyhi ) Hanafi The, Is Liye Ye Maktab E Fikr Ahnaaf Me Maqbul Huva, Yani Ahnaaf Aamtor Par Aqaa'id Me Maturidi Hote Hai.
▪️ Salafiyyah Wo Hai, Jo Sifaat E Khudavandi Ki Taveel Ke Jaiz Na Hone Me Imam Ahmad Ibne Hanbal ( Rahmatullahi Alyhi ) Vagera Ke Maslak Par Hai, Sifaat Ke Bare Me Ye Zok Aslaaf E Kiram Ka Tha, Is Liye Ye Hazraat Salafiyyah Kehlaye, Is Jamat Ko Kitabo Me Hanabilah Bhi Kaha Gaya Hai, Lekin Fiqh E Hanbali Se Ishtibah Hota Tha, Is Liye Aahista Aahista Ye Istilaah Matruk Ho Gayi, Neez Is Maslak Ko Maslak E Muhadiseen Bhi Kaha Jata Hai.

note 1 : Ashaerah Aur Maturidiyah Ke Darmiyan 12 Masaa'il Me Ikhtilaf Hai, Jo Sab Furuee ( Gair Aham ) Masaa'il Hai, Bunyadi Kisi Masle Me Ikhtilaf Nahi Hai, Aur Salafiyyah Ka Ashaerah Aur Maturidiyah Se Ikhtilaf Sirf Aek Mamuli Bat Me Hai, Puri Bat Ka Khulasa Ye Hai, Ke Aqaa'id Me Yahi 3 Jama'ate Haq Par Hai, In Ke Alawa Sab Jama'ate Gumrah Hai.

note 2 : Is Zamane Me Salafiyyat Ko Zahiriyyat ( Yani Kisi Ki Taqleed Na Karna - Gair Muqallid ) Ke Maana Me Use Kiya Jata Hai, Ye Name Ki Talbees ( Chori ) Hai, Aur Lafz Ka Gair Maruf Maana Me Istemaal Karna Hai, ( Khulasa Az Rahmatullahil Vasiaa - 1 / 47 To 50 )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Ulama E Deoband Ka Maslak
Sawal : Ulama E Deoband Ke Maslak Me Nuqs ( Galti ) Nikalna, Unko Galiya Dena Aur Jama'ate Islami Par Amal Karna Kesa Hai ?
aur Aam Musalmano Se Kudurat ( Nnafrat ) Rakhna Kesa Hai ?

view more..


Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Ta'rif ( Definition )
Sawal : Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Mukammal Ta'rif ( Definition ) Kya He ?

view more..


Duaa Se Maut Ka Talna.
Sawal : Kya Duaa Karne Se Maut Tal Jaati He Yaani Umar (age) Lambi Ho Sakti He ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 6
  • 0
  • 8
  • 8
  • 9
times