16 September 2025

Tuesday

21  Rabi-Ul-Awwal  1447

Sawal No : 375
Bab : NAMAZ
Fasl : NAMAZE
Topic : Sajda E Tilawat Ka Sahih Tareeqa
Sawal : Sajda E Tilawat Ka Sahih Tareeqa Kya Hai?
Jawab : Sajda E Tilawat Ka Masnoon Tariqa Ye Hai Ke Jab Sajda E Tilawat Karne Lage To Sajda E Tilawat Ki Niyat Dil Me Kare Aur Zaban Se Keh Lena Bhi Behtar Hai,
▪️ Arabi Me Kahe
"نويت ان اسجد للله تعالى عن تلاوة القرآن"
▪️ Urdu Me Kahe “allah Ke Waste Sajda E Tilawat Karta Hun”
▪️ Aur Khada Hokar Hath Uthae Bagair “allah-u-akbar” Kehta Hua Sajde Me Jaye Aur Kam Se Kam Teen Martaba “subhana Rabbial Aa’la” Kahe Phir “allah-u-akbar” Kehta Hua Sajde Se Sar Uthaye Aur Khada Ho Jaye.

▪️ Agar Baith Kar “allah-u-akbar” Kehta Hua Sajde Me Chala Jaye Aur Sajde Ke Baad “allah-u-akbar” Kehta Hua Sajde Se Sar Uthaye Aur Baith Jaye Khada Na Ho Tab Bhi Durust Hai.

▪️ Lekin Khade Ho Kar Sajde Me Jana Aur Phir Khada Ho Jana Afzal Hai. Sajda E Tilawat Me Tashahhud Padhna Aur Salam Phairne Ki Zarurat Nahi.

▪️ Neez Sajda E Tilawat Me Padhne Ki Masnoon Dua Muslim Shareef Manquul Hai Woh Yeh Hai:
سَجَدَ وَجْهِىَ لِلَّذِي خَلَقَهُ وَ صَوَّرَهُ وَشَقَّ سَمْعَهُ وَبَصَرَهُ بِحَوْلِهِ وَقُوَّتِهِ فَتَبَارَكَ اللهُ أَحْسَنُ الْخَالِقِينَ

▪️ Agar Ye Masnoon Dua Padhna Dushwar Ho To Aam Taur Par Jo Sajde Me Padha Jata Hai “subhana Rabbial Aa’la” Padhein.    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Na-mahram Aurat Ka Mard Ke Peeche Jama'at Ke Sath Namaz Padhna
Sawal : Kya Mard Ke Peeche Na-mahram Aurat Jama'at Se Namaz Padh Sakti Hai?

view more..


Pesh Ko Lamba Kheenchne Par Imam Sahab Ko Luqmah Dena
Sawal : Namaz Mein Agar Imam Sahab Pesh Ko Kheenche Ya Kheenchne Ki Jagah Par Na Kheenche, To Kya Unko Luqmah Dena Chahiye?

view more..


Fajr Ka Waqt Ho Jane Ke Baad Azaan Se Pehle Sunnat Padhna
Sawal : Kya Fajr Ki Namaz Ka Waqt Shuru Ho Gaya Ho, To Fajr Ki Azaan Se Pehle Fajr Ki 2 Rakaat Sunnat Padh Sakte Hai ? Mai Aksar Fajr Ki Azaan Dene Ke Liye Jaata Hu, To Kya Mai Ghar Se 2 Rakaat Sunnat Namaz Padh Ke Jaa Sakta Hu ?

view more..


Back Pain Me Gadde Ya Kursi Par Namaz Padhna
Sawal : Agar Back Pain Ho, Aur Bed Ke Gadde Par Sajda Kar Sakte Ho, To Bed Par Baith Kar Namaz Padhi Jaye, Ya Kursi Par ?

view more..


View all sawal
Total visited
  • 1
  • 5
  • 5
  • 7
  • 9
  • 0
times