Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
14 September 2025
Sunday
19 Rabi-Ul-Awwal 1447
Sawal No : 371
Bab : NIKAH
Fasl : NIKAH KE BARE ME
Topic : Aek Martaba Nikah Kar Lene Ke Baad Dobara Nikah Karna
Sawal : Agar Kisi Ladke Ya Ladki Ka Rishta Hua Ho Aur Gharwale Abhi Nikah Ke Liye Maan Nahi Rahe Ho Aur Gunah Ka Darr Ho To Kya Ladka Aur Ladki Unofficially Nikah Kar Sakte Hain Bataye Bagair Aur Baad Mein Phir Jab Gharwale Nikah Karein Tab Phir Se Nikah Karein Aur Unhe Maloom Hi Nahi Ho Ke Pehle Nikah Ho Gaya Hai To Aise Kar Sakte Hain?
Jawab : Agar Aap Ne Pehla Nikah Shar‘i Tareeqa Par Shar‘i Gawahon Ki Maujoodgi Mein Kiya Hai To Woh Bila Shubah Sahih O Durust Hua, Ab Dobara Nikah Karne Ki Zaroorat Nahi, Yeh Dusra Nikah Shariat Ke Aetibar Se Laghw (be Faidah) Hoga.
▪️ Lekin Agar Aap Aur Ladki Ke Walidain, Rishtedaar Aur Dost-ahbaab Waghera Ko Is Nikah Ki Ittila Nahi Hai Aur Sharam O Badnaami Waghera Ki Wajah Se Aap Ke Gharwale Ba-zabta Dobara Nikah Karna Chahte Hain To Shariat Ke Aetibar Se Yeh Haraam Nahi Hai. ( Ma’khuz Az Online Fatawa Darul Uloom Deoband )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 19-08-2025
download in PDF
related question
View all sawal
Total visited
1
5
5
0
8
4
times