Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 November 2024
Thursday
17 Jamadi-Ul-Awwal 1446
Sawal No : 35
Bab : BATIL FIRQE
Fasl : QADYANI
Topic : Qadyani ho jane ka hukm kya he ?
Sawal : meri ladki shadi shuda he, hamela he, magar bad qismati se mere damad aur uske sab ghar Wale qadyani ho gaye he, to ab ladki ka nikah baki he, ya tut gaya ? Ab hamari ladki ke liye kya hukm he ?
Jawab : Mirza gulam Ahmad qadyani par ulama e Islam ki taraf se kufr ka fatwa he, isliye ke us ke aqa'id Qur'an aur hadees ke khilaf the, woh khatme nubuwwat ka inkar karne wala tha, isliye usne ambiya e kiram (alayhimussalam) ki Shan me sakht kism ki gustakhiya ki he, woh apne liye nubuwwat ka dawedar tha, uske aqa'id ko tafsil se likh kar us par kufr ka fatwa diya gaya he, ke esa shakhs murtad aur Islam se kharij (bahar) he, jo shakhs us par iman Lata he, aur usko apna muqtada taslim karta he, uska bhi yahi hukm he, qadyani mazhab ikhtiyar karte hi nikah faskh ( tut gaya ) ho gaya, hargiz hargiz uske yaha apni ladki ko na bheje, tin (3) haiz ( periods ) guzarne par uski shadi dusri jagah karde.
(Fatawa mahmudiya 2/117)
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 06-09-2023
download in PDF
related question
View all sawal
Total visited
7
0
6
8
0
times