Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
21 July 2025
Monday
24 Muharram 1447
Sawal No : 348
Bab : BUYING / SELLING کتاب البیوع
Fasl : GST / IT RETURN
Topic : Apne Gst Number Se Dusre Ke Liye Saamaan Lekar Gst Claim Karna – Jaiz Hai?
Sawal : Muje Ye Poochhna Tha Ke Maine Apne Gst Account Se Kisi Aur Ke Liye Mobile Aur Ac Waghera Khareeda Hai. Us Par Jo Gst Laga, Uska Credit Mere Gst Account Me Aaya. Kya Mujhe Ye Credit Us Shakhs Ko Dena Chahiye? Aur Kya Is Credit Ko Cash Me Convert Karna Jaiz Hai, Jab Ke Sirf 30–45% Hi Cash Milta Hai? Saath Hi Mujhe Har Mahine Apne Gst Filing Charges Bhi Dene Padte Hain, Chahe Data Ho Ya Nahi — Kyun Ke Gst Me Jo Saman Liya Gaya Tha, Woh Mera Nahi Tha. Ab Mujhe Is Credit Ka Kis Tarah Se Use Karna Chahiye?
Jawab : Hamari Maloomat Ke Mutabiq, Apne Gst Number Se Kisi Doosre Shakhs Ke Liye Koi Cheez Khareedna Aur Us Par Gst Ka Credit Claim Karna, Government Ke Rules Ke Mutabiq Illegal Hai.
▪️ Agar Aisa Kiya Gaya, To Government Interest Ke Saath Penalty Bhi Laga Sakti Hai. Is Liye Aise Transaction Par Gst Credit Claim Nahi Karna Chahiye.
▪️ Isi Tarah, Aam Haalat Me Gst Credit Ko Seedha Cash Me Lena Ya Dena Bhi Illegal Hai. Gst Credit Ka Use Sirf Apni Gst Liability Chukane Ke Liye Kiya Ja Sakta Hai.
▪️ Gst Credit Ko Cash Me Dena Ya Doosre Ke Gst Me Use Karna Ek Tarah Ka Gst Fraud Hai. Agar Kisi Ne Aisa Kiya Aur Pakda Gaya, To Sakht Saza Mil Sakti Hai — Jisme Penalty Bhi Hai Aur Jail Bhi Ho Sakti Hai.
▪️ Is Liye Humein Apne Aap Ko Aise Kaamon Se Door Rakhna Chahiye, Taake Apni Jaan, Maal, Izzat Aur Aabroo Ki Hifazat Ho.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 16-07-2025
download in PDF
related question
Na-jaiz Zalimaana Tax Se Bachne Ke Liye Kya Kare
Sawal : Na-jaiz ( Zalimaana ) Tax Se Bachne Ke Liye Kya Kare ? Kya Ham Apni Income Kam Bata Sakte Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
4
2
3
4
5
times