03 July 2025

Thursday

6  Muharram  1447

Sawal No : 314
Bab : BUYING / SELLING کتاب البیوع
Fasl : Online Business
Topic : Kya Affiliate Marketing Halal Hai ?
Sawal : Kya Affiliate Marketing Halal Hai ? Affiliate Marketing Yani Company Ki Product/course Ko Sale Karna, Aur Wo Company Hame Product/course Sale Karne Par Profit Deti Hai.

▪️ Example Ke Tor Par...ek Company Hai, Jo Alag Alag Course Sale Karti Hai, Us Ke Ek Course Me Video Editing Aur Photo Editing Sikhaate Hai, Aur Us Ki Price 1000 Rs Hai, Agar Me Ye Course Kharidta Hu, To Mujhe 1000 Rs Pay Karke Ye Course Purchase Karna Padta Hai, Us Ke Baad Ya To Me Ye Course Sikh Ke Job Kar Sakta Hu, Apna Business Bhi Kar Sakta Hu, Ya Phir Me Isi Course Ke Sahare Isi Company Ki Marketing Bhi Kar Sakta Hu.

▪️ Ab Yaha Par 2 Option Hai,

( 1 ) Me Mere Dost Ya To Kisi Customer Ko Course Ka Kahunga, Ki Tu Ye Course Lele, Is Me Ye Ye Sikhne Milta Hai, Aur Agar Wo Ye Course Mere Kehne Se 1000 Rs Me Kharidta Hai, To Company Ki Taraf Se Mujhe 700 Rs Milenge, To Kya Mere Liye 700 Rs Halal Hai ?

( 2 ) Me Mere Dost Ya To Kisi Customer Ko Convince Karunga, Aur Kahunga, Ki Tu Bhi Ye Course 1000 Rs Ka Lele, Aur Tu Bhi Aage Tere Dost Ko Keh, Ki Wo Tere Se 1000 Rs Ka Course Lele, Kyu Ki Tu Tere Kisi Dost Ko 1000 Rs Ka Sale Karega, To Tujhe Bhi 700 Rs Per Customer Milenge, Jab Mera Dost Ye Course 1000 Rs Ka Purchase Karta Hai, To Mujhe 700 Rs Milte Hai, Aur Wo Ye Course Aage Sale Karta Hai, Us Ko 700 Rs Milte Hai, Aur Mujhe Bhi Us Par 70 Rs Milte Hai, To Ye 700 Rs Or 70 Rs Mere Liye Halal Hai ? Isi Tarah Mere Dost Ke Liye Bhi 70 Rs Halal Hai ?
Jawab : Affiliate Marketing Ki Jo Soorat Aap Ne Likhi Hai, Wo Mlm ( Multi Level Marketing ) Ki Tarah Hai,

( 1 ) Option - 1 Me Aap Ne Jo Kaha Hai, Ke Course Apne Kisi Dost Ko Bechne Se Aap Ko 1000/- Rs Me Se Rs 700/- Rs Milte Hai, Ye 700/- Rs As Comission Aap Ke Liye Halal Honge, Aap Ki Hesiyat Company Ke Agent Ki Hui, Goya Aap Ne Company Ke Course Ki Marketing Karke Apne Dost Ko Buy Karwaya.

▪️ Lekin Is Tarah Ki Marketing Karne Me Is Baat Ka Khayal Rakha Jae, Ke Jis Chiz Ki Marketing Ki Jaa Rahi Hai, Wo Product Or Course Halal Ho, Or Company Ka Physical Product Ya Valuable Koi Cheez Mawjood Ho, Or Shariat Ke Etebaar Se Koi Doosri Kharabi Na Pai Jaati Ho. ( Khulasa Online Fatawa Banoria Fatwa No-:144412101471 )

( 2 ) Option - 2 Me Aage Jo Chain Chalti Hai, Us Ki Wajah Se Aap Ko Jo Rs.70/- Milte Hai, Jesa Ke Multi Level Marketing Me Hota Hai, Wo Aap Ke Liye Halal Nahi Hai, Is Liye Ke 3rd Aadmi Jo Course Kharidega, Us Ke Or Aap Ke Darmiyan Koi Connection ( Zariya ) Nahi Hai, Balke Us Ko Course 2nd Aadmi Ne Buy Karwaya Hai, Jab Aap Ka Us Ko Course Buy Karwane Me Koi Mehnat Or Taaluq Hi Nahi Hai, To 3rd Aadmi Ka Course Buy Karne Se Aap Ko Jo Rs.70/- Milte Hai, Wo Aap Ke ( 1st Aadmi ) Liye Halal Nahi Hai. ( Khulasa Darul Ifta Jamia Banoria Online Fatwa : 144109200921 )    Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
related question
Google Map Se Paise Kamana
Sawal : Google Map Se Paise Kamana Halal Hai, Ya Haram Hai ? Me Is Kaam Ki Mazdoori Pehle Se Bata Deta Hu.

view more..


View all sawal
Total visited
  • 1
  • 3
  • 8
  • 0
  • 2
  • 1
times