Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
31 March 2025
Monday
1 Shawwal 1446
Sawal No : 305
Bab : ZAKAT
Fasl : ZAKAT KE BARE ME
Topic : Shares Ki Zakat Kese Ada Kare
Sawal : Share Market Me Shares Ki Zakat Kese Nikali Jaye ?
Jawab : Stock Market Me Investment 2 Type Ke Kiye Jaate Hai.
1 - Capital Gain Ke Liye
2 - Dividend Haasil Karne Ke Liye, Chahe Ye Niyyat Ho, Ke Accha Profit Mila, To Sell Kar Denge.
▪️ Lihaza Agar Aap Ne Long Term Investment Kiya Hai, Or Niyyat Capital Gain Ki Ho, To Jis Din Aap Zakat Nikale, Us Waqt Shares Ki Market Value Ke Hisaab Se Zakat Nikalni Zarori Hogi, Chahe Profit Ho, Ya Loss..example -: Aap Ne "a" Name Ki Company Ke 10 Shares Buy Kiye The, ( Rs100 Per Share ) Ab Aap Ki Har Saal Zakat Nikalne Ki Date 10 Ramazan Hai, 10 Ramazan Ko Us Company Ke Share Me Rs.20 Ka Profit Huva, Yaani Current Price Per Share Rs.120 Ho Gayi, ( Rs.1000 Investment Ki Value Ab Rs.1200 ) To Aap Ko Current Price Ka Profit Mila Kar Zakat Nikalni Hogi, Yani Rs.1200 Ke Hisaab Se Zakat Calculate Ki Jayegi, Or Agar "a" Company Me 10 Ramazan Ko Loss Huva, Yani Per Share Price Rs.80 Ho Gayi, To Ab Jo Loss Ke Hisaab Se Current Price Hai, Us Par Zakat Nikalna Zaroori Hoga, Di Gai Misaal Me Rs.1000 Ke Investment Ki Value Ab Rs.800 Hai, To Us Ke Hisaab Se Zakat Nikalni Hogi.
2) Or Agar Long Term Investment Company Me Dividend Haasil Karne Ke Liye Kia Hai, Agar Profit Milega To Sell Bhi Kardenge, Ye Niyyat Bhi Hai, Tab Bhi Shares Ki Us Raqam ( Market Value ) Pr Zakat Aaegi, Jisko Company Ne Zakat Ke Qabil Chizo Me Use Kia Ho.
example-: Rs.100 "a" Company Me Investment Kiye, Rs.100 Me Se Rs.60 Machinery, Building, Factory Ke Opposite Hai, Or Rs.40 Raw Material Ya Cash Ke Opposite Hai, To Rs.40 Me Hi Market Value Ke Hisaab Se Zakat Aaegi. ( Khulasa Fiqhi Maqalaat 1/155,156 )
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 12-03-2025
download in PDF
related question
Maqrooz Ko Zakat De Kar Qarz Vasool Karna
Sawal : Ek Shakhs Par Hamare 3300 Rs.qarz The, Vo Shakhs Bahut Garib Hai, Ham Ne Us Ko Itni Raqam Zakat Ke Tor Par Adaa Kar Di, Aur Us Ne Vo Raqam Hame Qarz Adaa Karte Huve Vapas Kar Di, To Kya Is Tarah Hamari Zakat Adaa Hogi ?
view more..
Zakat Ki Raqam Salary Me Dena
Sawal : Kya Zakat Ki Raqam Salary Me Dena Sahih Hai ?
view more..
Guzre Huve Salo Ki Zakat
Sawal : Ek Shakhs Ne 1975 Se Lekar 2019 Tak 3 Tola Sone Ki Zakat Nahi Nikali Hai, Ab Vo Zakat Nikalna Chahte Hai, To Un Ko Kitni Zakat Nikalni Hai.
view more..
Zakat Ki Adaigi Me Taakhir
Sawal : Zakat Ki Adaigi Me Taakhir Par Shariat Ki Jaanib Se Kya Waeed Bayan Ki Gayi Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
0
8
7
4
5
times