Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
17 March 2025
Monday
17 Ramzan 1446
Sawal No : 297
Bab : ZAKAT
Fasl : ZAKAT KE BARE ME
Topic : Guzre Huve Salo Ki Zakat
Sawal : Ek Shakhs Ne 1975 Se Lekar 2019 Tak 3 Tola Sone Ki Zakat Nahi Nikali Hai, Ab Vo Zakat Nikalna Chahte Hai, To Un Ko Kitni Zakat Nikalni Hai.
Jawab : Agar Un Ke Paas Sirf 3 Tola Gold Hi Tha, Silver / Cash / Business Stock Nahi Tha, Tab To Un Par Zakat Farz Hi Nahi Huvi Thi, Kyo Ke Agar Kisi Ke Pas Sirf Gold Hi Ho, To Zakat Ka Nisab 7.5 Tola Hai.
▪️ Aur Agar Un Ke Paas Gold Ke Sath Silver / Cash / Business Stock Bhi Tha, To Guzre Huve Saalo Ki Zakat Us Vakt Ke Rate Ke Hisab Se Dena Zaruri Hoga, Jese Ke 1975 / 76 / 77 Sab Ka Alag Gold Ka Rate Nikala Jaye, Aur Un Ke Har Saal Ke Total Maal Ka Hisab Kiya Jaye, Us Par Zakat Nikali Jaye.
▪️ Note : Agar Complete Hisab Kitab Ginna Mushkil Ho, To Andaza Lagaya Jaye, Aur Jis Andaze Par Galib-guman Ho, Us Ke Mutabik Amal Kiya Jaye.
▪️ Isi Tarah Guzre Huve Salo Ki Zakat Nikalte Vakt Kisi Saal Me Total Maal Zakat Ke Nisab Se Kam Ho Jaye, To Fir Zakat Farz Nahi Hogi, Misal Ke Tor Par 1975 Me Kul Maal 1 Lakh Rs. Tha, Ab Har Saal Ki 2.5 % Zakat Nikali Gayi, Aur Ab 2020 Me Vo Maal Zakat Ke Nisab Se Bhi Kam Ho Gaya, To Ab 2020 Se Zakat Farz Nahi Hogi.
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 14-01-2025
download in PDF
related question
Maqrooz Ko Zakat De Kar Qarz Vasool Karna
Sawal : Ek Shakhs Par Hamare 3300 Rs.qarz The, Vo Shakhs Bahut Garib Hai, Ham Ne Us Ko Itni Raqam Zakat Ke Tor Par Adaa Kar Di, Aur Us Ne Vo Raqam Hame Qarz Adaa Karte Huve Vapas Kar Di, To Kya Is Tarah Hamari Zakat Adaa Hogi ?
view more..
Zakat Ki Raqam Salary Me Dena
Sawal : Kya Zakat Ki Raqam Salary Me Dena Sahih Hai ?
view more..
Shares Ki Zakat Kese Ada Kare
Sawal : Share Market Me Shares Ki Zakat Kese Nikali Jaye ?
view more..
Zakat Ki Adaigi Me Taakhir
Sawal : Zakat Ki Adaigi Me Taakhir Par Shariat Ki Jaanib Se Kya Waeed Bayan Ki Gayi Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
1
0
2
8
8
3
times