Home
Search
Masail
Sawal Kare
islami name
Shariya calculations
Short Book & pdf
About Us
Contact Us
05 February 2025
Wednesday
4 Shaban 1446
Sawal No : 288
Bab : JAIZ / NAJAIZ CHEEZE
Fasl : OTHERS ( JAIZ / NAJAIZ CHEEZE )
Topic : Happy New Year Manana
Sawal : Happy New Year Manana ( Naye Saal Ki Mubarak-baad Dena ) Kesa Hai ?
Jawab : Naya Saal Manana Aur Us Ki Mubarak-baad Dena Shariyat Me Is Ka Koi Subut Nahi Hai, Naye Saal Ki Aamad Par Khushi Manana, Patakhe Phorna, Taliya Bajana, Seetiya Bajana, Naach-gana Karna, Naye Saal Ki Mubarak-baad Dene Ke Liye Mobile Se Aek-dusre Ko Sms Send Karna Wagira, Ye Sab Gairo Ka Tareeqa Aur Un Ki Naqqali Hai, Aur Shariat-e-mutahara Ne Gairo Ki Ittibaa Aur Un Ki Mushabahat Ikhtiyar Karne Se Mana Farmaya Hai.( Khulasa Az Fatawa Binnoriya - 144406100517 )
▪️ Hadees Sharif Me Aata Hai " Jis Ne Kisi Qom Ki Mushabahat Ikhtiyar Ki, To Vo Unhi Logo Me Se Ho Jata Hai"
Fakt - Allah ta'ala sabse zyada janne wale hai.
Upload Date : 31-12-2024
download in PDF
related question
Haram Maal Se Koi Chiz Kharidna
Sawal : Agar Kisi Aadmi Ne Haram Maal Se Paani Ki Tank Lagwa Kar Us Ko Use Karna Start Kar Diya, To Kya Us Tank Me Jo Pani Store Hota Rehta Hai, Us Ka Use Karna Sahih Hai ?
view more..
Mard Aur Aurat Konsi Ungli Me Ring Pehne
Sawal : Mard Ya Aurat Kisi Ke Liye Bhi Ring Konsi Ungli Me Pehenna Sahi Hai ?
kya Kisi Ungli Me Pehenne Ke Liye Mana Kiya Gya Hai ?
view more..
Aurat Aur Mard Ke Liye Haath - Pair Ke Baal Saaf Karna
Sawal : Aurat Aur Mard Ke Liye Haath - Pair Ke Balo Ko Nikalna Kesa Hai ?
view more..
Bachcho Ko Gudiya Dilana
Sawal : Bachcho Ke Khelne Ke Liye Gudiya Dilana Ya Ghar Me Rakhna Kaisa Hai ?
view more..
View all sawal
Total visited
8
4
0
7
3
times